Khwaja e Hind Wo Darbaar Hai Aa’la Tera

- Allama Hasan Raza Khan

Khwaja e Hind Wo Darbaar Hai Aa’la Tera

Khwaja e Hind Wo Darbaar Hai Aa’la Tera
Kabhi Mahroom Nahiñ Maangne Waala Tera

Maa e Sar Josh Dar Aaghosh Hai Sheesha Tera
Be Khudi Ch’haaye Na Kyuñ Pee Ke Pyaala Tera

Khuftgaan e Shab e Ghaflat Ko Jaga Deta Hai
Saal-haa Saal Wo Raatoñ Ka Na Sona Tera

Hai Teri Zaat Ajab Bahr e Haqeeqat Pyaare
Kisi Tayraak Ne Paaya Na Kinaara Tera

Jaur e Paamaali e ‘Aalam Se Usay Kya Matlab
Khaak Meiñ Mil Nahiñ Sakta Kabhi Zar’ra Tera

Kis Qadar Josh e Tahay’yur, Ke ‘Ayaañ Haiñ Aasaar
Nazar Aaya Magar Aa-ina Ko Talwa Tera

Gulshan e Hind Se Shaadaab Kaleje ‘Thand’ay
Waah! Ay Abr e Karam Zor Barasna Tera

Kya Mahak Hai Ke Mu’at’tar Hai Dimaagh e ‘Aalam
Takhta e Gulshan e Firdaus Hai Rauza Tera

Tere Zar’ra Pe Ma’aasi Ki Ghat’a Ch’haayi Hai
Is Taraf Bhi Kabhi Ay Mahr Ho Jalwa Tera

Tujh Meiñ Haiñ Tarbiyat e Khizr Ke Paida Aasaar
Bahr o Bar Meiñ Hameñ Milta Hai Sahaara Tera

Phir Mujhe Apna Dar e Paak Dikha De Pyaare
Aankheñ Pur-Noor Hoñ Phir Dekh Ke Jalwa Tera

Zil’l e Haq Ghaus Pe, Hai Ghaus Ka Saaya Tujh Par
Saaya Gustar Sar e Khud’daam Pe Saaya Tera

Tujh Ko Baghdad Se Haasil Huwi Wo Shaan e Rafi’
Dang Rah Jaate Haiñ Sab Dekh Ke Rutba Tera

Kyuñ Na Baghdad Meiñ Jaari Ho Tera Chashma e Faiz
Bahr e Baghdad Hee Ki Nahr Hai Darya Tera

Kursi ‘Daali Teri, Takht e Shah e Jilaañ Ke Huzoor
Kitna Ooncha Kiya Allah Ne Paaya Tera

Rashk Hota Hai Ghulaamoñ Ko Kahiñ Aaqa Se?
Kyuñ Kahuñ Rashk Dah e Badr Hai Talwa Tera

Bashar Afzal Haiñ Malak Se Yuñh Madh Karuñ
Na Malak Khaas Bashar Karte Haiñ Mujra Tera

Jab Se Tu Ne Qadam e Ghaus Liya Hai Sar Par
Awliya Sar Pe Qadam Lete Haiñ Shaaha Tera

Muhiyud’deeñ Ghaus Haiñ Awr Khwaja Mu’eenud’deeñ Hai
Ay Hasan Kyuñ Na Ho Mahfooz Aqida Tera

Share Now