Wo Urs Keh Jis Urs Ka Har Rang Juda Hai
Ulama-o-Mashayi’kh Ka Jahan Chand Khila Hai
Wo Khas Jise Qadri Faizan Mila Hai
Wo Urs-e-Raza Urs-e-Raza Urs-e-Raza Hai
Mimbar Se Jahan Jari Hain Tauheed Ke Chashme
Har Baar Jahan Dikhte Hain Qudrat Ke Karishme
Har Sunni Ka Iman Jahan Taza Hua Hai
Wo Urs-e-Raza Urs-e-Raza Urs-e-Raza Hai
Quran Ki Tilawat Hai, Hadeeson Ki Sadayein
Naaton Se Muattar Hain Bareilly Ki Fazayein
Sangam Woh Jahan Ilm-o-aqeedat Ka Hua Hai
Wo Urs-e-Raza Urs-e-Raza Urs-e-Raza Hai
Nah Dhol Nah Qawwali Nah Aurat Ka Hai Mela
Tasweer Kashi Ka Bhi Nahin Rehta Jhamela
Is Daur Mein Jo Rang-e-Shariat Mein Ranga Hai
Wo Urs-e-Raza Urs-e-Raza Urs-e-Raza Hai
Us Ashiq-e-Sadiq Ka Hai Yeh Urs-e-Muqaddas
Ulama-o-Mashayi’kh Nazar Aaye Jahan Fi-Gaz
Sarkar Ka Yeh Khas Karam Jis Pe Hua Hai
Wo Urs-e-Raza Urs-e-Raza Urs-e-Raza Hai
Sultan-e-Bareilly Ka Jahan Sachha Hai Masnad
Har Fitne Ka Hota Hai Bara Khul Ke Wahan Radd
Baatil Ke Muqabil Jo Yaqeen Ban Ke Khara Hai
Wo Urs-e-Raza Urs-e-Raza Urs-e-Raza Hai
Har Samt Se Nikli Hai Phir Usshaq Ki Rally
Kheench Kheench Ke Chali Aati Hai Sab Shehar-e-Bareilly
Khud Qaid-e-Millat Jahan Allama Zia Hai
Wo Urs-e-Raza Urs-e-Raza Urs-e-Raza Hai
Hai Khoon Mein Ab Ishq-e-Risalat Ki Rawani
Yeh Urs Wafaon Ki Hai Ek Zinda Nishani
Har Zehn Ko Sarmaya-e-Haq Jis Se Mila Hai
Wo Urs-e-Raza Urs-e-Raza Urs-e-Raza Hai
Sarkar Ki Ulfat Hi Hai Iman Ka Hasil
Tahreer Bhi Talwar Hai Baatil Ke Muqabil
Duniya Ko Yeh Paigham-e-Raza Jis Ne Diya Hai
Wo Urs-e-Raza Urs-e-Raza Urs-e-Raza Hai
Har Qalb Mein Hai Noor-e-Aqeedat Ka Ujala
Har Lab Pe Saja Naat Ka Naghma Hai Nirala
Har Samt Muhabbat Ka Jahan Phool Khila Hai
Wo Urs-e-Raza Urs-e-Raza Urs-e-Raza Hai
Zulmat Ke Muqabil Woh Jo Khurshid-e-Huda Tha
Jo Khadim-e-Namoos-e-Risalat Bhi Raha Tha
Us Na’ib-e-Sarkar Ko Jo Tamgha Mila Hai
Wo Urs-e-Raza Urs-e-Raza Urs-e-Raza Hai
Eitrat Bhi Hai Mahboob, Hain As’haab Bhi Pyare
Ek Kashti Hai Aur Ek Hidayat Ke Sitare
Donon Ki Muhabbat Ka Jise Rang Charha Hai
Wo Urs-e-Raza Urs-e-Raza Urs-e-Raza Hai
Baatil Se Kabhi Sunni Nah Samjhota Karega
Haq Ke Liye Har Waqt Khara Dutt Ke Rahega
Ayyub Jo Baatil Ko Yun Lalkar Raha Hai
Wo Urs-e-Raza Urs-e-Raza Urs-e-Raza Hai
وہ عرس کہ جس عرس کا ہررنگ جدا ہے
علماء و مشاٸخ کا جہاں چاند کھِلا ہے
وہ خاص جسے قادری فیضان ملا ہے
وہ عرس رضا عرس رضا عرس رضا ہے
منبر سے جہاں جاری ہیں توحید کے چشمے
ہربار جہاں دِکھتے ہیں قدرت کے کرشمے
ہر سنی کا ایمان جہاں تازہ ہوا ہے
وہ عرس رضا عرس رضا عرس رضا ہے
قرآں کی تلاوت ہے، حدیثوں کی صدائیں
نعتوں سے معطر ہیں بریلی کی فضائیں
سنگم وہ جہاں علم و عقیدت کا ہوا ہے
وہ عرس رضا عرس رضا عرس رضا ہے
نہ ڈھول نہ قوالی نہ عورت کا ہے میلہ
تصویر کشی کا بھی نہیں رہتا جھمیلا
اِس دور میں جو رنگِ شریعت میں رنگا ہے
وہ عرس رضا عرس رضا عرس رضا ہے
اُس عاشقِ صادق کا ہے یہ عرسِ مقدس
علماء و مشاٸخ نظر آۓ جہاں فِی گَز
سرکار کا یہ خاص کرم جس پہ ہوا ہے
وہ عرس رضا عرس رضا عرس رضا ہے
سلطانِ بریلی کا جہاں سچا ہے مسند
ہرفتنے کا ہوتا ہے بڑا کھل کے وہاں رد
باطل کے مقابل جو یقیں بن کے کھڑا ہے
وہ عرس رضا عرس رضا عرس رضا ہے
ہرسمت سے نکلی ہے پھر عُشّاق کی ریلی
کھِینچ کھِینچ کے چلی آتی ہے سب شہرِ بریلی
خود قاٸدِ ملت جہاں علامہ ضیا ہے
وہ عرس رضا عرس رضا عرس رضا ہے
ہے خون میں اب عشقِ رسالت کی روانی
یہ عرس وفاٶں کی ہے اک زندہ نشانی
ہر ذہن کو سرمایۂ حق جس سے ملا ہے
وہ عرس رضا عرس رضا عرس رضا ہے
سرکار کی الفت ہی ہے ایمان کا حاصل
تحریر بھی تلوار ہے باطل کے مقابل
دنیا کو یہ پیغامِ رضا جس نے دیا ہے
وہ عرس رضا عرس رضا عرس رضا ہے
ہر قلب میں ہے نورِ عقیدت کا اجالا
ہر لب پہ سجا نعت کا نغمہ ہے نرالا
ہرسمت محبت کا جہاں پھول کھِلا ہے
وہ عرس رضا عرس رضا عرس رضا ہے
ظلمت کے مقابل وہ جو خورشیدِ ہُدیٰ تھا
جو خادمِ ناموسِ رسالت بھی رہا تھا
اُس ناٸبِ سرکار کو جو تمغہ ملا ہے
وہ عرس رضا عرس رضا عرس رضا ہے
عترت بھی ہے محبوب، ہیں اصحاب بھی پیارے
اک کشتی ہے اور ایک ہدایت کے ستارے
دونوں کی محبت کا جسے رنگ چڑھا ہے
وہ عرس رضا عرس رضا عرس رضا ہے
باطل سے کبھی سنی نہ سمجھوتا کرے گا
حق کےلیے ہروقت کھڑا ڈٹ کے رہے گا
ایوبؔ جو باطل کو یوں للکار رہا ہے
وہ عرس رضا عرس رضا عرس رضا ہے