Aasiyon Ko Dar Tumhara Mil Gaya

Aasiyon Ko Dar Tumhara Mil Gaya

Aasiyoñ Ko Dar Tumhaara Mil Gaya
Be ‘Thikaanoñ Ko ‘Thikhaana Mil Gaya

Fazl e Rab’b Se Phir Kami Kis Baat Ki
Mil Gaya Sab Kuch Jo Taibah Mil Gaya

Kashf e Raaz e مَنْ رَآنِي Yuñ Huwa
Tum Milay To Haq Ta’aala Mil Gaya

Be-Khudi Hai Baa’is e Kashf e Hijaab
Mil Gaya Milne Ka Rasta Mil Gaya

Un Ke Dar Ne Sab Se Mustaghni Kiya
Be Talab Be Khwaahish Itna Mil Gaya

Naa-Khudaayi Ke Liye Aaye Huzoor
‘Doobto Niklo Sahaara Mil Gaya

Donoñ ‘Aalam Se Mujhe Kyuñ Kho Diya
Nafs e Khud-Matlab, Tujhe Kya Mil Gaya

Aankheñ Pur-Nam Ho Gayeeñ Sar Jhuk Gaya
Jab Tera Naqsh e Kaf e Paa Mil Gaya

Khuld Kaisa, Kya Chaman, Kis Ka Watan
Mujh Ko Sahra e Madina Mil Gaya

Hai Muhab’bat Kis Qadr Naam e Khuda
Naam e Haq Se Naam e Waala Mil Gaya

Un Ke Taalib Ne Jo Chaaha Paa Liya
Un Ke Saa-il Ne Jo Maanga Mil Gaya

Tere Dar Ke ‘Tukray Haiñ Awr Maiñ Ghareeb,
Mujh Ko Rozi Ka Thikaana Mil Gaya

Ay Hasan! Firdaus Meiñ Jaayeñ Janaab
Ham Ko Sahra e Madina Mil Gaya

Share Now