Pul Se Utaro Rah Guzar Ko Khabar Na Ho

Pul Se Utaro Raah Guzar Ko Khabar Na Ho,
Jibreel Par Bichhaain To Par Ko Khabar Na Ho.

Kaanta Mere Jigar Se Gham-e-Rozgaar Ka,
Yun Kheench Lijiye Ke Jigar Ko Khabar Na Ho.

Fariyaad Ummati Jo Kare Haal-e-Zaar Mein,
Mumkin Nahin Ke Khair-e-Bashar Ko Khabar Na Ho.

Kehti Thi Ye Buraaq Se Us Ki Subuk Rawi,
Yun Jaaiye Ke Gard-e-Safar Ko Khabar Na Ho.

Farmaate Hain Ye Dono Hain Sardaar E Do Jahaan,
Ae Murtaza! Ateeq O Umar Ko Khabar Na Ho.

Aisa Gumaa De Un Ki Wila Mein Khuda Hamein,
Dhoondha Kare Par Apni Khabar Ko Khabar Na Ho.

Aa Dil! Haram Ko Roknay Waalon Say Chup Kay Aaj,
Yun Uth Chaleyn Kay Pehlo Wabar Ko Khabar Na Ho.

Tair-e-Haram Hain Yeh Kaheen Rishta Bapaa Na Hon,
Yoon Dekhiye Kay Taar-e-Nazar Ko Khabar Na Ho.

Aay Khaar-e-Taibah! Dekh Kay Daaman Na Bheeg Jaey,
Yun Dil Mein Aa Kay Deedah-e-Tar Ko Khabar Na Ho.

Ae Shauq-e-Dil! Ye Sajda Gar Un Ko Rawa Nahin,
Achha! Woh Sajda Kijiye Ke Sar Ko Khabar Na Ho.

Un Ke Siwa Raza Koi Haami Nahin Jahaan,
Guzra Kare Pisar Pe Pidar Ko Khabar Na Ho.

Read Tazmin Version → Click Here

Share Now