Zulmat Se Yun Nikalo Sahar Ko Khabar Na Ho
Jannat Mein Yun Basao Saqar Ko Khabar Na Ho
Aise Guzaro Gard-e-Safar Ko Khabar Na Ho
Pul Se Utaro Raah Guzar Ko Khabar Na Ho
Jibreel Par Bichhaain To Par Ko Khabar Na Ho
Hai Khasta Haal Kab Se Dil-e-Daaghdaar Ka
Kab Se Khizaan Ki Zad Mein Hai Mausam Bahaar Ka
Dast-e-Huzoor Mein Hai Sharaf, Ikhtiyaar Ka
Kaanta Mere Jigar Se Gham-e-Rozgaar Ka
Yun Kheench Lijiye Ke Jigar Ko Khabar Na Ho
Dono Jahaan Huzoor Ke Hain Ikhtiyaar Mein
Chashm-e-Karam Se Chalta Hai Kaam Us Dayar Mein
Aawaaz Dil Se De Jo Dam-e-Iztiraar Mein
Fariyaad Ummati Jo Kare Haal-e-Zaar Mein
Mumkin Nahin Ke Khair-e-Bashar Ko Khabar Na Ho
Hai Farsh Taa Ba-Arsh Alag Aaj Dil Kashi
Me’raaj-e-Mustafa ﷺ Ki Hai Phaili Ye Roshni
Hain Jaan-e-Kaainaat Ki Ra’naaiyaan Sabhi
Kehti Thi Ye Buraaq Se Us Ki Subuk Rawi
Yun Jaaiye Ke Gard-e-Safar Ko Khabar Na Ho
Ek Waaqia Sunaata Hoon Tum Ko Ae Qadr-Daan
Ashaab O Ahl-e-Bait Ki Ulfat Ka Hai Bayaan
Qaul-e-Nabi Se Azmat-e-Shaikhain Hain Ayaan
Farmaate Hain Ye Dono Hain Sardaar E Do Jahaan
Ae Murtaza! Ateeq O Umar Ko Khabar Na Ho
Kuch Is Tarah Sharaab-e-Mohabbat Pila Hamein
Zikr-e-Habeeb Ki De Khudaaya Ghiza Hamein
Yaad-e-Nabi Se Maula Na Rakhna Juda Hamein
Aisa Gumaa De Un Ki Wila Mein Khuda Hamein
Dhoondha Kare Par Apni Khabar Ko Khabar Na Ho
Allah Se Nabi Ko Bhala Kya Mila Nahin
Bas Ek Uloohiyat Hi Nabi Ko Ataa Nahin
Na Woh Khuda Hain Aur Khuda Se Juda Nahin
Ae Shauq-e-Dil! Ye Sajda Gar Un Ko Rawa Nahin
Achha! Woh Sajda Kijiye Ke Sar Ko Khabar Na Ho
Kaun-o-Makaan Mein Sikka Hai Sarkaar Ka Rawaan
Chaukhat Pe Un Ki Sar Ko Jhukaata Hai Aasmaan
Ayyub Ka Hai Kaun Ba-Juz Maalik-e-Jinaan
Un Ke Siwa Raza Koi Haami Nahin Jahaan
Guzra Kare Pisar Pe Pidar Ko Khabar Na Ho