Dil Ki Tishnagi Hussain Hai
Meri Zindagi Hussain Hai
Kya Yazeed Jaanta Nahin
Khoon-e-Haidari Hussain Hai
Sajda-e-Hussain Hai Gawaah
Jaan-e-Bandagi Hussain Hai
Yun To Laakhon Hain Haseen Magar
Meri Aashiqui Hussain Hai
Pehli Baar Dekha Karbala
Haar-e-Pyaas Ki Hussain Hai
Khwahishon Ki Thandi Raat Mein
Mehki Chaandni Hussain Hai
Gham Nahin Rifai Aaj Tak
Meri Har Khushi Hussain Hai
دل کی تشنگی حسین ہے
میری زندگی حسین ہے
کیا یزید جانتا نہیں
خون حیدری حسین ہے
سجدہء حسین ہے گواہ
جان بندگی حسین ہے
یوں تو لاکھوں ہیں حسیں مگر
میری عاشقی حسین ہے
پہلی بار دیکھا کربلا
ہار پیاس کی حسین ہے
خواہشوں کی ٹھنڈی رات میں
مہکی چاندنی حسین ہے
غم نہیں رفاعی آج تک
میری ہر خوشی حسین ہے