Manqabat Dar Shan e Sayyiduna Siddiq-e-Akbar Radiyallahu Anhu
Wallah Woh Haider Ka Bhi Hubdaar Nahin Hai
Jis Dil Mein Bhi Siddiq Tera Pyaar Nahin Hai
Kyun Sarwar-e-Konain Use Dar Pe Bulaayein
Siddiq Ka Jo Shakhs Wafadaar Nahin Hai
Tum Pooch Rahe Ho Mere Siddiq Ka Rutba?
Quran Mein Kya Aayat-e-Fil Ghaar Nahin Hai
Padh Surah-e-Wal-Lail Mein Atqa Ki Sanad Ko
Kya Ye Bhi Teri Aql Mein Meyaar Nahin Hai
Siddiq Laqab Jab Se Nawaza Hai Nabi Ne
Us Waqt Se Jhuthon Mein Tera Pyaar Nahin Hai
Dekh Aaj Bhi Naqshe Mein Mazaaron Ko Rifai
Siddiq Ke Pehlu Mein Kya Sarkaar Nahin Hai
منقبت در شانِ سیدنا صدیقِ اکبر رضی اللہ عنہ
وللہ وہ حیدر کا بھی حب دار نہیں ہے
جس دل میں بھی صدیق ترا پیار نہیں ہے
کیوں سرور کونین اسے در پہ بلائیں
صدیق کا جو شخص وفادار نہیں ہے
تم پوچھ رہے ہو مرے صدیق کا رتبہ؟
قرآن میں کیا آیتِ فی الغار نہیں ہے
پڑھ سورہء ولیل میں اتقی کی سند کو
کیا یہ بھی تری عقل میں معیار نہیں ہے
صدیق لقب جب سے نوازا ہے نبی نے
اس وقت سے جھوٹوں میں ترا پیار نہیں ہے
دیکھ آج بھی نقشے میں مزاروں کو رفاعی
صدیق کے پہلو میں کیا سرکار نہیں ہے