Zahe izzat-o-a’etla-e-Muhammad ﷺ
Keh hay arsh-e-Haq zere paa-e-Muhammad ﷺ
Makaan arsh unka falak farsh unka,
Malak khaadimaan-e-saraa-e-Muhammad ﷺ
Khuda ki RAZA chahte hain do aalam,
Khuda chahta hay RAZA-e-Muhammad ﷺ
Ajab kya agar raham farmaein ham par,
Khudaa-e-Muhammad-baraye Muhammad ﷺ
Muhammad baraa-e-janaab-e-Ilaahi,
Janaab-e-Ilahi baraa-e-Muhammad ﷺ
Basi itr-e-mehboob-e-kibriya sey,
‘Abaaye Muhammad qabaaye Muhammad ﷺ
Beham ehed baandhe hain wasl-e-abad ka,
Razaaye khuda aur razaaye Muhammad ﷺ
Dam-e-naz’a jaari ho meri zubaan par,
Muhammad Muhammad Khuda-e-Muhammad ﷺ
‘Asaa-e-kaleem azdahaa-e-ghazab tha,
Giron ka sahara asaa-e-Muhammad ﷺ
Main qurbaan kya pyari pyari hay nisbat,
Ye aane Khuda wo Khuda-e-Muhammad ﷺ
Muhammad ka dam khaas beher-e-Khuda hay,
Siwaaye Muhammad baraaye Muhammad ﷺ
Khuda unko kis pyaar sey dekhta hay,
Jo aankhein hain mehwe liqa-e-Muhammad ﷺ
Juluwo mein ijabat khwaasi mein rehmat,
Barhi kis tazuk sey duaaye Muhammad ﷺ
Ijaabat ne jhuk kar galle sey lagaaya,
Barhi naaz sey jab duaay-e-Muhammad ﷺ
Ijaabat ka sehra inaayat ka jora,
Dulhan ban key nikli duaaye Muhammad ﷺ
Raza pul sey ab wajd karte guzariye,
Ke hay Rab-e-sallim sadaaye Muhammad ﷺ