Ye Dil Teri Yaadon Me Tadapta Hi Rahega
Tera Hai Ye Tera Hai Ye Tera Hi Rahega
Qur’an Ka Elaan Hai Har Lamha Tera Zikr
Hota Hai Ye Hota Hai Ye Hota Hi Rahega
Allah Ki Woh Shaan Hain Imaan Ki Woh Jaan
Qur’an Mein Likkha Hai Ye Likkha Hi Rahega
Qurbaan Dil O Jaan Tere Naam Pe Sunni
Karta Hai Ye Karta Hai Ye Karta Hi Rahega
Zikr-e-Shahe Kaunain Se Najdi Hai Tujhe Chirh
Ye Amr Huweida Hai Huweida Hi Rahega
Siddiq Ke Gustaakh Se Har Sunni Ka Bachcha
Ladta Hai Ye Ladta Hai Ye Ladta Hi Rahega
Ae Jaan-e-Adalat Tere Us ADL Ka Danka
Bajta Hai Ye Bajta Hai Ye Bajta Hi Rahega
Daamaad-e-Nabi Hazrat-e-Usman Ka Shaatim
Ruswa Hai Ye Ruswa Hai Ye Ruswa Hi Rahega
Hain Jis Ke Nabi Maula Ali Us Ke Hain Maula
Mehboob, Magar Maula Ka Ma’na, Hi Rahega
Us Paak Chaman Par Hai Hawa Saaya-e-Rehmat
Zahra Ka Har Ek Phool Shagufta Hi Rahega
Sultaan-e-Wilaayat Ka Do Aalam Mein Ye Sadqa
Bat’ta Hai Ye Bat’ta Hai Ye Bat’ta Hi Rahega
Kursi Pe Koi Baithe Magar Hind Ka Raaja
Khwaja Hai Ye Khwaja Hai Ye Khwaja Hi Rahega
Ash’aar-e-Raza Sun Ke Sada Ishq-e-Risaalat
Barhta Hai Ye Barhta Hai Ye Barhta Hi Rahega
Ye Qalb Mera Noori O Akhtar O Ziya Ka
Sheida Hai Ye Sheida Hai Ye Sheida Hi Rahega
Murshid Ka Ye Faizaan-e-Karam Mere Qalam Ko
Milta Hai Ye Milta Hai Ye Milta Hi Rahega
Asjad Mein Mere Taaj-e-Shari’at Ka Woh Jalwa
Dikhta Hai Ye Dikhta Hai Ye Dikhta Hi Rahega
Sabir Toh Bade Peer Ke Darbaar Ke Sag Ka
Kutta Hai Ye Kutta Hai Ye Kutta Hi Rahega
Ayyub Raza Naat-e-Nabi Ta-Dam-e-Aakhir
Likhta Hai Ye Likhta Hai Ye Likhta Hi Rahega