Ya Nabi Dekha Ye Rutba Aapki Naalain Ka
Arsh Ne Chuma Hai Talwa Aapki Naalain Ka
Aapki Khidmat Ka Mujhko Kaash Mil Jaata Sharaf
Baandhta Hathon Se Tasma Aapki Naalain Ka
Aapke Qadmon Ki Narmi Qalb Par Mahsoos Ki
Jab Bhi Mein Ne Naqsh Dekha Aapki Naalain Ka
Hashr Mein Jab Log Choomey Aapka Dust-e-Karam
Sab Say Chup Kar Loon Mein Bosa Aapki Naalain Ka
Roz-e-Mehshar Sar Pe Sooraj Jab Sawaa Neezay Pe Ho
Aik Nezay Per Ho Saaya Aapki Naalain Ka
Jiss Se Aagay Jaayen Toh Jal Jaye Par Jibreel Ke
Uss Se Aagay Jana Dekha Aapki Naalain Ka
Taaj Kyun Na Bheek Maangay Aapki Naalain Ki
Taajwar Khatay Hain Sadqa Aapki Naalain Ka