Woh Akhtar Raza Hai Woh Akhtar Raza Hai
Hai Jis Ki Mohabbat Se Dil Ka Guzara Woh Akhtar Raza Hai Woh Akhtar Raza Hai
Jo Sab Se Haseen Aur Hai Sab Se Pyara Woh Akhtar Raza Hai Woh Akhtar Raza Hai
Hamari Ragon Mein Mohabbat Ki Lehrain Bahai Hai Jis Ne Khuda Ke Karam Se
Usi Ala Hazrat Ki Aankhon Ka Tara Woh Akhtar Raza Hai Woh Akhtar Raza Hai
Lutaya Tha Jis Ki Hifazat Pe Karbal Mein Zahra Ke Bete Ne Kunbe Ko Apne
Usi Baagh-e-Islam Ka Ab Sahara Woh Akhtar Raza Hai Woh Akhtar Raza Hai
Woh Sar Se The Pairon Talak Ek Karamat Samajh Na Sake Haaye Hum Un Ki Azmat
Bana Qibla-e-Ishq Jin Ka Janaza Woh Akhtar Raza Hai Woh Akhtar Raza Hai
Khuda Jis Ko Kaabe Ka Mehmaan Banaye Nabi Jis Ko Taj-e-Shariat Banaye
Wohi Gulshan-e-Razviyat Ka Ujala Woh Akhtar Raza Hai Woh Akhtar Raza Hai Woh
Ye Hazrat Ki Haibat Ka Aalam Tha Jis Se Zamane Ka Har Fitna War Be-Zubaan Tha
Kahin Jis Ka Sani Kisi Ne Na Paaya Woh Akhtar Raza Hai Woh Akhtar Raza Hai
Jo Baatil Ke Narghay Mein Ja Kar Dahaade Jo Maidan Mein Shar Ko Jam Kar Pachhaade
Usi Sher Asjad Raza Khan Ka Baba Woh Akhtar Raza Hai Woh Akhtar Raza Hai
Nabi Ki Shariat Bachane Ki Khaatir Zamane Ki Zad Se Chhudane Ki Khaatir
Diya Jis Ne Asjad Raza Jaisa Beta Woh Akhtar Raza Hai Woh Akhtar Raza Hai
Bada Naaz Hai Jis Pe Ahle Sunnat Ko Lubhata Hai Din Raat Jo Mere Man Ko
Usi Shah Asjad Ka Noorani Baba Woh Akhtar Raza Hai Woh Akhtar Raza Hai
Na Chhoote Gi Us Dar Ki Hum Se Gadaai Zamane Se Keh De Ae Sayyed Rifai
Hamein Har Qadam Pe Hai Jis Ne Sambhala Woh Akhtar Raza Hai Woh Akhtar Raza Hai
وہ اختر رضا ہے وہ اختر رضاہے
ہے جس کی محبت سے دل کا گزارا وہ اختر رضا ہے وہ اختر رضاہے
جو سب سے حسیں اورہے سب سے پیارا وہ آختر رضا ہے وہ اختر رضاہے
ہماری رگوں میں محبت کی لہریں بہائی ہے جس نے خدا کے کرم سے
اسی اعلی حضرت کی آنکھوں کا تارہ وہ آختر رضا ہے وہ اختر رضاہے
لٹایا تھا جس کی حفاظت پہ کربل میں زہرا کے بیٹےنے کنبے کو اپنے
اسی باغ اسلام کا اب سہارا وہ اختر رضاہے وہ اختر رضا ہے
وہ سر سے تھے پیروں تلک اک کرامت سمجھ نہ سکے ہائے ہم ان کی عظمت
بنا قبلہ عشق جن کا جنازہ وہ اختر رضا ہے وہ اختر رضاہے
خدا جس کو کعبے کا مہماں بنائے نبی جس کو تاج شریعت بنائے
وہی گلشن رضویت کا اجالا وہ اختر رضا ہے وہ اختر رضاہے وہ
یہ حضرت کی ہیبت کا عالم تھا جس سے زمانے کا ہر فتنہ ور بے زباں تھا
کہیں جس کا ثانی کسی نے نہ پایا وہ اختر رضاہے وہ اختر رضا ہے
جو باطل کے نرغے میں جا کر دہاڑے جو میدان میں شر کو جم کر پچھاڑے
اسی شیر عسجد رضا خاں کا بابا وہ اختر رضا ہے وہ اختر رضاہے
نبی کی شریعت بچانے کی خاطر زمانے کی زد سے چھڑانے کی خاطر
دیا جس نے عسجد رضا جیسا بیٹا وہ اختر رضا ہے وہ اختر رضاہے
بڑا ناز ہے جس پہ اہلسنن کو لبھاتا ہے دن رات جو میرے من کو
اسی شاہ عسجد کا نورانی بابا وہ اختر رضا ہے وہ اختر رضاہے
نہ چھوٹے گی اس در کی ہم سے گدائی زمانے سے کہہ دے اے سید رِفاعی
ہمیں ہر قدم پہ ہے جس نے سنبھالا وہ اختر رضا ہے وہ اختر رضا ہے