Wo Soo e Laalah Zaar Phirte Hain
Tere Din Ay Bahaar Phirte Hain
Jo Tere Dar Se Yaar Phirte Hain,
Dar Ba Dar Yunhi Khwaar Phirte Hain
Aah Kal Aish To Kiye Ham Ne
Aaj Wo Be Qaraar Phirte Hain
Un Ke Eemaa Se Donon Baaghon Par
Kheel e Layl o Nahaar Phirte Hain
Har Charaagh e Mazaar Par Qudsi
Kaise Parwaana Waar Phirte Hain
Us Gali Ka Gada Hun Main Jis Me
Maangte Taajedaar Phirte Hain
Jaan Hain Jaan Kya Nazar Aaye
Kyun Adu Gird e Ghaar Phirte Hain
Phool Kya Dekhun Meri Aankhon Me
Dasht e Taiba Ke Khaar Phirte Hain
Laakhon Qudsi Hain Kaam e Khidmat Par
Laakhon Gird e Mazaar Phirte Hain
Wardiyaan Bolte Hain Harkaare
Pehra Dete Sawaar Phirte Hain
Rakheeye Jaise Hain Khaana Zaad Hain Ham
Mol Ke Ayb Daar Phirte Hain
Haa-e Ghaafil Wo Kya Jagah Hai Jahaan
Paanch Jaate Hain Chaar Phirte Hain
Ba-een Raste Na Jaa Musafir Sun
Maal Hai Raah-maar Phirte Hain
Jaag Sunsaan Ban Hai Raat Aa-ee
Gurg Behr e Shikaar Phirte Hain
Nafs Ye Ko-ee Chaal Hai Zaalim
Jaise Khaasay Bijaar Phirte Hain
Ko-ee Kyun Pooche Teri Baat Raza
Tujh Se Kut’te Hazaar Phirte Hain