Hamare Bakht Ko Bhi Sar Kushidah Hona Tha
Thi Aarzoo Hameiñ Taibah Raseedah Hona Tha
Safar Hamara Bada Aarmeedah Hona Tha
Magar Ye Langar-e Kashti Jaheedah Hona Tha
Ae Bande Dev Ke Kyuñ Bad Aqeedah Hona Tha
Nabi Ka Hoke Tujhe Rab Ka Bandah Hona Tha
Mein Jaanta Huñ Tadap Khaak-e Dar Ki Kyuñ Hei Ashk
Mila Ke Khud Ko Tumhe To Fareedah Hona Tha
Jhuka Tha Sar Sue Ka’aba Namaz Meiñ Lekin
Ye Qalb Ko Sue Rauza Khameedah Hona Tha
Ye Naamuradi Ke Din The Naseeb Meiñ Warna
Wahi Pe Marta Wahi Aafreedah Hona Tha
Jo Ehtesham Tujhe Hona Tha Hisham Unka
To Pyare Qaid-e Khudi Se Raheedah Hona Tha