Waah! Kya Martaba Ay Ghaus Hai Baala Tera
Oonche Oonchoñ Ke Saroñ Se Qadam Aa’la Tera
Sar Bhala Kya Ko-ee Jaane Ke He Kaisa Tera
Awliya Maltay Haiñ Aankheñ Wo He Talwa Tera
Kya Dabay Jis Pe Himaayat Ka Ho Panjah Tera
Sher Ko Khatre Me Laata Nahiñ Kut’ta Tera
Tu Husaini Hasani Kyuñ Na Muhiy’yud’deeñ Ho
Ay Khidhr Majma’ e Bahrain Hai Chashma Tera
Qasmeñ De-De Ke Khilaata Hai Pilaata Hai Tujhe
Pyaara Allah Tera Chaahane Waala Tera
Mustafa Ke Tan e Be Saaye Ka Saaya Dekha
Jis Ne Dekha Meri Jaan Jalwa e Zaiba Tera
Ibn e Zahra Ko Mubaarak Ho ‘Aroos e Qudrat
Qaadiri Paa-eñ Tasad’duq Mere Dulha Tera
Kyuñ Na Qaasim Ho Ke Tu Ibn e Abil Qaasim Hai
Kyuñ Na Qaadir Ho Ke Mukhtaar Hai Baba Tera
Nabawi Meenh ‘Alawi Fasl Batooli Gulshan
Hasani Phool Husaini Hai Mahakna Tera
Nabawi Zil Alawi Burj Batooli Manzil
Hasani Chaand Husaini Hai Ujaala Tera
Nabawi Khur ‘Alawi Koh Batooli Ma’dan
Hasani La’al Husaini He Tajal’la Tera
Bahr O Bar Shahr O Qura Sahl O Hazan Dasht O Chaman
Kaun Se Chak Pe Pahunchta Nahiñ Da’wa Tera
Husn e Niyyat Ho Khata Phir Kabhi Karta Hee Nahiñ
Aazmaaya Hai Yagaana Hai Dogaana Tera
‘Arz e Ahwaal Ki Pyaasoñ Me Kahaañ Taab Magar
Aankheñ Ay Abr e Karam Takti Haiñ Rasta Tera
Maut Nazdeek Gunaahoñ Ki Taheñ Meyl Ke Khowl
Aa Baras Jaa Ke Naha Dho Le Ye Pyaasa Tera
Aab Aamad Wo Kahe Awr Me Tayam’mum Bar Khaast
Musht Khaak Apni Ho Awr Noor Ka Ahla Tera
Jaan To Jaate Hee Jaayegi Qiyaamat Ye Hai
Ke Yahaañ Marne Pe T’ehra Hai Nazaara Tera
Tujh Se Dar, Dar Se Sag, Awr Sag Se Hai Mujh Ko Nisbat
Meri Gardan Me Bhi Hai Door Ka Dawra Tera
Is Nishaani Ke Jo Sag Haiñ Nahiñ Maare Jaate
Hashr Tak Mere Gale Me Rahe Pat’ta Tera
Meri Qismat Ki Qasam Khaa-eñ Sagaan e Baghdad
Hind Me Bhi Huñ To Deta Rahuñ Pehra Tera
Teri Izzat Ke Nisaar Ay Mere Ghayrat Waale
Aah! Sad Aah Ke Yuñ Khwaar Ho Barda Tera
Bad Sahi, Chor Sahi, Mujrim O Naakaara Sahi
Ay Wo Kaisa Hee Sahi Hai To Kareema Tera
Mujh Ko Ruswa Bhi Agar Ko-ee Kahega To Yuñhi
Ke Wohi Na, Wo RAZA Banda e Ruswa Tera
Haiñ RAZA! Yuñ Na Bilak Tu Nahiñ Jay’yid To Na Ho
Sayyid e Jay’yid e Har Dahr Hai Maula Tera
Fakhr e Aaqa Me RAZA Awr Bhi Ik Nazm e Rafee’
Chal Likha Laa-eñ Thana Khwaanoñ Me Chehra Tera