Rahe Ta-Hashr Yunhi Ja-Ba-Ja Urs-e-Raza Ki Dhoom
Machi Hai Har Taraf Sad Marhaba Urs-e-Raza ki Dhoom
Gul-e-khush Rang Se Bazm-e-aqeedat Kyun Mu’attar Hai?
Lutati Hai Bahaar-e-mustafa ﷺ Urs-e-Raza Ki Dhoom
Jahan Mein Maslak-e-ahmad Raza Ka Bol Bala Hai
Batati Hai Hamein Yeh Dilruba Urs-e-Raza Ki Dhoom
Bareilly Hai Bana Ahl-e-sunan Ke Ishq Ka Markaz
Yeh Kehti Hai Sabhi Se Barmala Urs-e-Raza Ki Dhoom
Jahan Razvi Aqeeda Hai, Wahan Imaan Ki Khushboo Hai
Sunati Hai Yeh Paigham-e-Wila Urs-e-Raza Ki Dhoom
Na Mela Hai Na Qawwali Na Aurat Hai Na Bad’haali
Zamane Bhar Mein Hai Sab Se Juda Urs-e-Raza Ki Dhoom
Qalam Jis Ka Tha Shamsheer-e-Yaqeen, Baatil Shikan Har Dam
Dhamak Jis Ki Hai Ab Bhi Ba-Khuda Urs-e-Raza Ki Dhoom
Rasool-e-Paak ﷺ Ki Naamoos Par Pehra Diya Jis Ne
Isi Mard-e-Khuda Ki Hai Sana Urs-e-Raza Ki Dhoom
Dar-e-Sarkaar ﷺ Se Nisbat Hi Sarmaya-e-Hasti Hai
Sunati Hai Yehi Raaz-e-Baqa Urs-e-Raza Ki Dhoom
Imam-e-Ahl-e-Sunnat Ki Muhabbat Dil Ka Sarmaya
Banati Hai Dilon Ko Paarsa Urs-e-Raza Ki Dhoom
Raza Ke Faiz Se Roshan Hain Dil Ayyub e Khaste Ke
Rahe Ta-Hashr Yunhi Pur-Zia Urs-e-Raza Ki Dhoom