Teri Madh Khwaan Har Zubaan Ghaus-e-Azam

Teri Madh Khwaan Har Zubaan Ghaus-e-Azam
Tera Naam Momin Ki Jaan Ghaus-e-Azam

Panaah-e-Ghareebaañ Teri Zaat Waala
Tera Ghar Hai Daar-ul-Amaañ Ghaus-e-Azam

Zamaana Na Kyuñ Kar Ho Mehmaañ Ke Tum Ne
Bich’chaya Hai Rahmat Ka Khwaañ Ghaus-e-Azam

Teri Majlis-e-Wa’az Meiñ Aate Aksar
‘Arab Se Shah-e-Mursalaañ Ghaus-e-Azam

Jisay Shak Ho Wo Khizr Se Pooch Dekhe
Teri Majlisoñ Ka Sama Ghaus-e-Azam

Na Le Bhool Kar Naam Bulbul Chaman Ka
Jo Dekhe Tera Gulsitaañ Ghaus-e-Azam

Hai Bazm-e-Husain-o-Hasan Tujh Se Roshan
Tu Hai Noor Ka Sham’a Daañ Ghaus-e-Azam

Tere Jad’d-e-Amjad Haiñ Noor-e-Ilaahi
Hai Noori Tera Khandaañ Ghaus-e-Azam

‘Uloom-o-Fuyooz-e-Shahanshah-e-Taiba
Haiñ Seene Meiñ Tere Nihaañ Ghaus-e-Azam

Tere Saamne Haalat-e-Dil Hai Roshan
Karuñ Zor Se Kyuñ Fughaañ Ghaus-e-Azam

Tumhaari Wilaayat Siyaadat Karam Ka
Huwa Shor Taa Laa Makaañ Ghaus-e-Azam

Tere Wa’az Meiñ Aa Ke Shaah-e-‘Arab Ne
Bar’haayi Teri ’Izz-o-Shaañ Ghaus-e-Azam

Huwe Dekh Kar Tujh Ko Kaafir Musalmaañ
Bane Sang Dil Mom Saañ Ghaus-e-Azam

Quloob-e-Khala-iq Ki, Baab-e-Jinaañ Ki
Mili Haiñ Tujhe Kunjiyaañ Ghaus-e-Azam

Bukhara-o-Ajmer-o-Marahrah Kalyar
Ye Sab Haiñ Teri Nad’diyaañ Ghaus-e-Azam

Kareñ Jabha Saa-i Jahaañ Taaj Waale
Wo Hai Aap Ka Aastaañ Ghaus-e-Azam

Mit’aaye Tere Dar Pe Jo Apni Hasti
Rahe Us Ka Naam-o-Nishaañ Ghaus-e-Azam

Milay Ab To Gulzaar-e-Baghdad Mujh Ko
Maiñ Bulbul Huñ Be Aashiyaañ Ghaus-e-Azam

Milegi Hameñ Tere Daaman Ke Neeche
Do ‘Aalam Meiñ Amn-o-Amaañ Ghaus-e-Azam

Do ‘Aalam Meiñ Hai Kaun Haami Hamaara
Yahaañ Ghaus-e-Azam Wahaañ Ghaus-e-Azam

Zara Sidq-e-Dil Se Pukaaro To Un Ko
Abhi Jalwa Gar Hoñ Yahaañ Ghaus-e-Azam

Na Ho Mubtala Wo Kabhi Ranj-o-Gham Meiñ
Kare Jis Ko Tu Shaadmaañ Ghaus-e-Azam

Agar Zikr Meiñ Tere Guzre To Behtar
Ye Thor’i Si ‘Umr-e-Rawaañ Ghaus-e-Azam

Milay Ranj-o-Afkaar Se Mujh Ko Mohlat
Ke Huñ Aap Ka Madh-Khwaañ Ghaus-e-Azam

Mere Dam Meiñ Jab Tak Rahe Dam Rahuñ Meiñ
Tere Zikr Se Tar Zubaañ Ghaus-e-Azam

Dam-e-Soor Marqad Se Kehta Ut’hunga
Wahaañ Le Chalo Haiñ Jahaañ Ghaus-e-Azam

Hamaare Qusoor-o-Khata Bakhshwa Kar
Dila-eñ Qusoor-e-Jinaañ Ghaus-e-Azam

Kiya Murgh Sookhi Huwi Had’diyoñ Ko
Ye Rakhte Haiñ Taab-o-Tawaañ Ghaus-e-Azam

JAMEEL Ab Ho Saakit Maqaam-e-Adab Hai
Kahaañ Tera Munh Awr Kahaañ Ghaus-e-Azam

Share Now