Tera Jalwah Noor-e-Khuda Ghaus-e-Azam
Tera Chehra Imaan-Faza Ghaus-e-Azam
Mujhe Be-Gumaan De Gumaan Ghaus-e-Azam
Na Paaun Mein Apna Pata Ghaus-e-Azam
Khudi Ko Mitaa De Khuda Se Milaa-o
De Aisi Fanaa-o-Baqaa Ghaus-e-Azam
Khudi Ko Gumaaun To Mein Haq Ko Paaoon
Mujhe Jaam-e-Irfaan Pilaa Ghaus-e-Azam
Khuda-Saaz Aaina-e-Haq-Numa Hai
Tera Chehra-e-Pur-Ziyaa Ghaus-e-Azam
Khuda Tu Nahin Hai Magar Tu Khuda Se
Juda Bhi Nahin Hai Zara Ghaus-e-Azam
Na Tu Khud Khuda Hai, Na Haq Se Juda Hai
Khuda Ki Hai Tu Shaan Ya Ghaus-e-Azam
Tu Baagh-e-Ali Ka Hai Wo Phool Jis Se
Dimaagh-e-Jahaan Bas Gaya Ghaus-e-Azam
Tera Martaba Kyun Na A’la Ho Maula
Hai Mahboob-e-Rab-ul-Ula Ghaus-e-Azam
Tera Rutbah Allahu Akbar Saron Par
Qadam Awliya Ne Liya Ghaus-e-Azam
Tera Daaman-e-Paak Thaamay Jo Rahzan
Banay Haadi-o-Rahnuma Ghaus-e-Azam
Na Kyun Mehrbaan Ho Ghulamon Pe Apne
Karam Ki Hai Tu Kaan Ya Ghaus-e-Azam
Tere Sadqe Jaaun Meri Laaj Rakh Le
Tere Haath Hai Laaj Ya Ghaus-e-Azam
Pareshaan Kar De Pareshaaniyon Ko
Pareshaan Dil Hai Mera Ghaus-e-Azam
Meri Kashti Chakra Rahi Hai Bhanwar Mein
Mere Na-Khuda Ba-Khuda Ghaus-e-Azam
Khuda Ra Sahaara, Sahaara Khuda Ra
Talaatum Hai Hadd Se Siwa Ghaus-e-Azam
Arrey Muray Sayyaan Paroon Tore Paiyaan
Pakar Mori Baiyaan Piya Ghaus-e-Azam
Khataein Hamaari Jo Hadd Se Siwa Hain
Ataa Teri Un Se Siwa Ghaus-e-Azam
Khata-Kaariyaan Gar Che Hadd Se Bhi Apni
Siwa Hain, Siwa Hain, Siwa Ghaus-e-Azam
Hamaari Khata Ko Tumhaari Ataa Se
Bhala Koi Nisbat Bhi Ya Ghaus-e-Azam
Tu Rahm-o-Karam Ka Hai Be-Payaan Darya
Ye Ik Fard-e-Isyaan Hai Ya Ghaus-e-Azam
Ye Ik Fard-e-Isyaan Hai Kya Tere Aage
Agar Laakhon Se Hon Siwa Ghaus-e-Azam
Tera Ek Hi Qatra Dho Dega Saara
Har Ik Sahfa-e-Pur-Khata Ghaus-e-Azam
Tu Be-Kas Ka Kas Aur Be-Bus Ka Bus Hai
Tawaan Na-Tawaanon Ki Ya Ghaus-e-Azam
Meri Jaan Mein Jaan Aa-e Jo Aa-e
Mera Jaan-e-Aalam Mera Ghaus-e-Azam
Meri Jaan Kya, Jaan-e-Imaan Ho Taaza
Ke Muhyi-e-Deen-e-Khuda Ghaus-e-Azam
Mera Sar Teri Kafsh-e-Paa Par Tasadduq
Wo Paa Ke To Qaabil Hai Ya Ghaus-e-Azam
Jhalak Roo-e-Anwar Ki Apni Dikha Kar
Tu Noori Ko Noori Bana Ghaus-e-Azam