Tera Andaaz Juda Tujh Mein Woh Yaktai Hai
Baadshahon Ne Bhi Kab Aisi Ada Paai Hai
Tum Ne Girton Ko Uthaya Hai Badi Shafqat Se
Unche Unchon Ne Tere Dar Se Falaah Paai Hai
Hum Ko Aaraam Ki Aadat Hai Tere Qadmon Mein
Tere Hi Dar Pe Hamein Chain Ki Neend Aai Hai
Tera Chehra Hai Ke Zakhmon Pe Haseen Marham Hai
Muskura De To Mareezon Ne Shifa Paai Hai
Husn Tera Sa Na Dekha Kabhi In Aankhon Ne
Kya Tera Husn Hai Kya Khoob Jheela Paai Hai
Teri Soorat Mein Ajab Si Hi Kashish Hai Pyaare
Dekh Kar Aap Ko Allah Ki Yaad Aai Hai
Lab Pe Allah To Dil Mein Hai Kasak Taiba Ki
Murshidi Aap Ne Kya Khoob Ajal Paai Hai
Akhtar E Qaadri Kyun Kar Na Chale Jannat Ko
Ghaus Ke Aap Jinaan Ghaus Ki Sheidaai Hai
Murshida Abdul Samad Tere Hi Dar Ka Hai Ghulaam
Tera Deedaar Ataa Ho Teri Yaad Aai Hai
Tere Shahzade Ko Dekha To Deewano Ne Kaha
Rukh-e Asjad Mein Tera Jalwa-e-Zebaai Hai