Tajalli e Noor e Qidam Ghaus e Azam
Zia e Siraajuz Zulam Ghaus e Azam
Tera Hill Hai, Tera Haram Ghaus-e-Azam
Arab Tera, Tera Ajam Ghaus-e-Azam
Karam Aap Ka Hai Aam Ghaus-e-Azam
Inaayat Tumhaari Ataam Ghaus-e-Azam
Mukhaalif Hon Go Sau Padam Ghaus-e-Azam
Hamein Kuch Nahin Iska Gham Ghaus-e-Azam
Chala Aisi Taigh-e-Do-Dum Ghaus-e-Azam
Ke A’da Ke Sar Hon Qalam Ghaus-e-Azam
Wo Ik Waar Ka Bhi Na Hoga Tumhaare
Kahaan Hai Mukhaalif Mein Dum Ghaus-e-Azam
Tere Hote Hum Par Sitam Dhaayeñ Dushman
Sitam Hai, Sitam Hai, Sitam Ghaus-e-Azam
Kahaan Tak Sunein Hum Mukhaalif Ke Taane
Kahaan Tak Sahein Hum Sitam Ghaus-e-Azam
Barhe Hausle Dushmanoñ Ke Ghata De
Zara Le-Le Taigh-e-Do-Dum Ghaus-e-Azam
Nahin Laata Khaatir Mein Shaahoñ Ko Shaaha
Tera Banda-e-Be-Diram Ghaus-e-Azam
Karam Chaahiye Tera, Tere Khuda Ka
Karam Ghaus-e-Azam, Karam Ghaus-e-Azam
Ghata Hausla Gham Ki Kaali Ghata Ka
Barhi Hai Ghata Dum-Ba-Dum Ghaus-e-Azam
Barha Na-Khuda Sar Se Paani Alam Ka
Khabar Lijiye, Doobe Hum Ghaus-e-Azam
Karo Paani Gham Ko, Bahaa Do Alam Ko
Ghataein Barhiñ Ho Karam Ghaus-e-Azam
Nazar Aaye Mujhko Na Soorat Alam Ki
Na Dekhun Kabhi Roo-e-Gham Ghaus-e-Azam
Barha Haath Kar Dastageeri Hamaari
Barha Abr-e-Gham Dum-Ba-Dum Ghaus-e-Azam
Khudara Zara Haath Seene Pe Rakh Do
Abhi Mit’te Hain Gham, Alam Ghaus-e-Azam
Khuda Ne Tumhein Mahw-o-Isbaat Bakhsha
Ho Sultan-e-Lauh-o-Qalam Ghaus-e-Azam
Hai Qismat Meri Tedhi, Tum Seedhi Kar Do
Nikal Jaayeñ Sab Pech-o-Kham Ghaus-e-Azam
Khabar Lo Hamaari Ke Hum Hain Tumhaare
Karo Hum Pe Fazl-o-Karam Ghaus-e-Azam
Tum Aise Ghareeboñ Ke Faryaad-Ras Ho
Ke Thehra Tumhaara Alam Ghaus-e-Azam
Ba Ain-e-Inaayat, Ba Chashm-e-Karaamat
Bideh Jur’a-e-Na-Chashm Ghaus-e-Azam
Tera Ek Qatra Awaalim-Numa Hai
Nahin Chaahiye Jaam-e-Jam Ghaus-e-Azam
Kuch Aisa Guma De Muhabbat Mein Apni
Ke Khud Keh Uthun Mein Manam Ghaus-e-Azam
Jise Chaahe Jo De, Jise Chaahe Na De
Tere Haath Mein Hai Ni’am Ghaus-e-Azam
Tera Husn Namkeen Bharay Zakhm-e-Dil Ke
Bana Marham-e-Bar Dilam Ghaus-e-Azam
Taraqqi Kare Roz-o-Shab Dard-e-Ulfat
Na Ho Qalb Ka Dard Kam Ghaus-e-Azam
Khuda Rakhe Tum Ko Hamaare Saroñ Par
Hai Bas Ik Tumhaara Hi Dum Ghaus-e-Azam
Dam-e-Naza’ Sirhaane Aa Jaawo Pyaare
Tumhein Dekh Kar Nikle Dum Ghaus-e-Azam
Teri Deed Ke Shawq Mein Jaan-e-Jaanañ
Khinch Aaya Hai Aankhoñ Mein Dum Ghaus-e-Azam
Koi Dum Ke Mehmaan Hain, Aa Jaawo Is Dum
Ke Seene Mein Atka Hai Dum Ghaus-e-Azam
Dam-e-Naza’ Aawo Ke Dum Aa-e Dum Mein
Karo Hum Pe Yaseen Dum Ghaus-e-Azam
Ye Dil, Ye Jigar Hai, Ye Aankheñ, Ye Sar Hai
Jahaan Chaaho Rakho Qadam Ghaus-e-Azam
Sar Khud Ba-Shamsheer-e-Abroo Farosham
Ba-Mizhgaan Tu Seenaam Ghaus-e-Azam
Ba-Pekaan-e-Teerath Jigar Mee-Farosham
Ba-Teer-e-Nigaahat Dilam Ghaus-e-Azam
Dimaagh-e-Rasad Bar Sar-e-Arsh-e-A’la
Ba-Paayat Agar Sar Nahum Ghaus-e-Azam
Meri Sar-Bulandi Yaheen Se Hai Zaahir
Ke Shud Zair-e-Paayat Saram Ghaus-e-Azam
Laga Lo Mere Sar Ko Qadmoñ Se Apne
Tumhein Sirr-e-Haq Ki Qasam Ghaus-e-Azam
Qadam Kyun Liya Awliya Ne Saroñ Par
Tumhi Jaano Is Ke Hikam Ghaus-e-Azam
Kiya Faisla Haq-o-Baatil Mein Tum Ne
Kiya Haq Ne Tum Ko Hakam Ghaus-e-Azam
Tumhaari Mahak Se Gali Kooche Mehke
Hai Baghdad Rashk-e-Iram Ghaus-e-Azam
Karam Se Kiya Rahnuma Rahzanoñ Ko
Idhar Bhi Nigaah-e-Karam Ghaus-e-Azam
Mera Nafs-e-Sarkash Bhi Rahzan Hai Mera
Ye Deta Hai Dum-Dum Ba-Dum Ghaus-e-Azam
Dikha De Tu Inni Azoomun Ke Jalwe
Suna De Sada-e-Manam Ghaus-e-Azam
Mere Dum Ko Is Ke Damoñ Se Bacha Le
Karam Kar, Karam Kar, Karam Ghaus-e-Azam
Main Hoon Na-Tawaan, Sakht Kamzor Hud Ka
Hain Zoroñ Charhe Us Ke Dum Ghaus-e-Azam
Na Palla Ho Halka Hamaara, Na Hum Hoñ
Na Bigre Hamaara Bharam Ghaus-e-Azam
Kahaan Tak Hamaari Khataein Gineñge
Kareñ Afw Sab Yak-Qalam Ghaus-e-Azam
Hamaari Khataoñ Se Daftar Bhare Hain
Karam Kar Ke Hoon Kal Adam Ghaus-e-Azam
Tumhaare Karam Ka Hai Noori Bhi Pyaasa
Mile Yam Se Us Ko Bhi Nam Ghaus-e-Azam