Sarkar Ki Nazron Mein Aisa Rutba Hai Ameer e Hamza Ka
Duniya To Kya Hai Jannat Mein Shohra Hai Ameer e Hamza Ka
Kya Shaan Ameer e Hamza Ki, Kya Baat Ameer e Hamza Ki
Hain Amm-e-Nabi Bhi, Bhai Bhi, Ye Khaas Fazeelat Hai Un ki
Sarkar-e-Do-Aalam Se Dohra Rishta Hai Ameer e Hamza Ka
Kya Shaan Ameer e Hamza Ki, Kya Baat Ameer e Hamza Ki
Awaaz Na Jaane Kis Ki Thi, Main Ne To Suni Ye Kaanon Se
Jo Maangta Hai De Do Is Ko, Mangta Hai Ameer e Hamza Ka
Kya Shaan Ameer e Hamza Ki, Kya Baat Ameer e Hamza Ki
Ye Un Ke Karam Ki Baatein Hain, Ye Khaas Inaayat Hai Un Ki
Jo Kuch Hai Mere Daaman Mein, Sadqa Hai Ameer e Hamza Ka
Kya Shaan Ameer e Hamza Ki, Kya Baat Ameer e Hamza Ki
Har Naimat Un Ki Chokhat Par Jannat Se Utri Lagti Hai
Sad Shukr Ke Hamne Bhi Paya, Sufra Hai Ameer e Hamza Ka
Kya Shaan Ameer e Hamza Ki, Kya Baat Ameer e Hamza Ki
Sab Ahle Muhabbat Kehte Hai, Taibah Main Turbat Hai Inki
Mujhko To Laga Ke Saara Hi Taibah Hai Ameer e Hamza Ka
Kya Shaan Ameer e Hamza Ki, Kya Baat Ameer e Hamza Ki
Darbar e Ameer e Hamza Main Bin Maange Jholi Bharti Hai
Faizan Ye Ajmal Aankhon Se Dekha Hai Ameer e Hamza Ka
Kya Shaan Ameer e Hamza Ki, Kya Baat Ameer e Hamza Ki