Woh Ban Mein Kadam Rakh De To Ban Jata Hai Ban Phool
Jis Phool Ko Woh Chhoo Le Woh Ho Rashke Chaman Phool
Main Kyn Kahun Ke Sirf Hai Aaqa Ka Dahan Phool
Sar Ta Ba Qadam Hai Tan E Sultaan E Zaman Phool
Lab Phool, Dahan Phool, Zaqan Phool, Badan Phool
Aaram Ganahgaar Ko Ek Pal Nhi Milta
Sar Se Mere Aalaam Ka Sooraj Nhi Dhalta
Mai Kya Karu Sarkaar Mera Bas Nahi Chalta
Tinka Bhi Hamaare To Hilaaye Nahiñ Hilta
Tum Chaaho To Ho Jaaye Abhi Koh E Mihan Phool
Allah Ne Sarkar Ki Woh Shaan Banayi
Wallah Koi Kar Nhi Sakta Hai Badhayi
Hairan Huee Dekh Ke Ye Saari Khudaai
Dandaan O Lab O Zulf O Rukh E Shah Ke Fida-ee
Haiñ Durr E ‘adan La’al E Yaman Mushk E Khutan Phool
Aye Maalik E Qul Rashke Jahan Shah E Rasoolaan
Mahboob E Khuda Noor E Khuda Rehmate Yazda
Hai Arz Ke Ahbab Na Ho Mujhse Pareshaan
Hoñ Baar E Gunaah Se Na Khajil Dosh E Azeezaañ
Lil’laah Meri Na’ash Kar Ay Jaan E Chaman Phool
Kehta Hai Bashar Apni Tarah Woh Hai Kamina
Dikhlaao Use Shehre Bareilly Ka Karina
Us Aashiq E Sadique Ne Badi Baat Kahi Naa
Wal’laah Jo Mil Jaaye Mere Gul Ka Paseena
Maange Na Kabhi Itr Na Phir Chaahe Dulhan Phool
Aukat Wasi Teri Naa Hi Tere Kalam Ki
Mat Puchiye Ke Kaise Tazmeen Rakam Ki
Ye Khaas Inaayat Hai Nawaso Ke Qadam Ki
Kya Baat Raza Is Chamanistaan E Karam Ki
Zahra Hai Kali Jis Me Husain Awr Hasan Phool