Samaa Hai Noor Ka, Nikla Chand Hai
Nikla Chand Hai, Nikla Chand Hai
Aasmaan Par Har Nazar Hai, Kaisa Nikla Chand Hai
Eid-e-Milad-e-Muhammad-Mustafa Ka Chand Hai
Nikla Chand Hai, Nikla Chand Hai
Nikla Chand Hai, Nikla Chand Hai
Zulmat-e-kufr-o-zalaalat Ka Hai Seena Chaak-chaak
Teergi-e-dahar Mein Nikla Khuda Ka Chand Hai
Kah Do, Daaman Ko Samete, Kufr Ki Tareekiyaan
Aamina Beebi Ke Ghar Nikla Khuda Ka Chand Hai
Ik Taraf Tha Badr-e-kaamil, Ik Taraf Tayba Ka Chand
Ishq-e-jaabir Ne Kaha, Tayba Ka Suthra Chand Hai
Khaana-e-taareek Mein Jab Muskuraaya Aap Ne
Aayisha Khaatoon Ne Samjha Ki Nikla Chand Hai
Har Taraf Hai Eid Ka Manzar E Razvi Zindabaad
Baarahween Ki Subah Nikla Aamina Ka Chand Hai