Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do
Jaaliyo Per Nigahe Jami Hai
Apna Jalwa Isi Mai Dikhado
Jaliyon Par Nigahen Jami Hain
Gausul Azam Ho Gausul Wara Ho
Noor Ho Noor E Salle Ala Ho
Kya Bayan Aapka Martaba Ho
Dastagir Aur Mushkil Kusha Ho
Aaj Deedar Apna Kara Do
Jaaliyo PE Nigahe Jami Hai
Wajd May Aayega Saara Aalam
Jab Pukarenge Ya Gause Azam
Woh Nikal Aayenge Jaliyo Se
Aur Qadmon Me Gir Jayenge Ham
Fir Kahenge Ke Bigdi Bana Do
Jaaliyo Per Nigahe Jami Hai
Shiddat E Gham Se Ghabra Gaya Hoo
Ab To Jeenay Se Tang Aa Gaya Hoo
Har Taraf App Ko Dhundta Hoo
Aur Eik Eik Se Yeh Phuchta Hoo
Koi Paigham Ho To Bata Doon
Jaaliyon Par Nigahe Jami Hai
Ek Mujhrim Siyahkar Hu Mai
Har Khata Ka Sazawaar Hu Mai
Mere Charo Taraf Hai Andhera
Roshni Ka Talabgar Hu Mai
Ek Diya Hi Samajkar Jala Do
Jaaliyo Per Nigahe Jami Hai
Sun Rahe Hai Woh Fariyad Meri
Khak Hogi Na Barbaad Meri
Mai Kahin Bhi Maru Shah E Jeelaan
Rooh Pohnchegi Bagdaad Meri
Mujh Ko Parwaz Ke Par Laga Do
Jaaliyon Per Nigahe Jami Hai
Fikr Dekho Khayalat Dekho
Ye Aqeedat Ye Jazbaat Dekho
Mai Hu Kya Meri Awqaat Dekho
Saamne Kaisi Hai Zaat Dekho
Aye Adeeb Apne Sar ko Jhooka Do
Jaliyo Per Nigahe Jami Hai
Faslo Ko Khudaya Mita Do
Jaaliyon Per Nigahe Jami Hai