Raza-e-Ghaus Ahmad Ki Raza Hai
Raza Ahmad Ki Marzi-e-Khuda Hai
Kamaalaat-o-‘Uloom-e-Mustafa Se
Shah-e-Jilaañ Tujhe His’sa Mila Hai
Tu Aai-na Jamaal-e-Mustafa Ka
Tu Haq Go Haq Shanaas-o-Haq Numa Hai
Janaab-e-Mustafa Zill-e-Khuda Haiñ
Tu Zill-e-Mustafa Noor-e-Khuda Hai
Tere Ham Ho Chukay Tu Hai Hamaara
Khuda Ka Tu Hai Awr Tera Khuda Hai
Jo Munkir Hai Tera Wo Haq Ka Munkir
Jo Banda Hai Tera ‘Abd-e-Khuda Hai
Tera Mangta Hai Maqbool-e-Ilaahi
Tere Munkir Pe Qahr-e-Kibriya Hai
Muhiy’yud’deeñ Na Kyuñ Ho Naam Tera
Ke Tu Ne Deen-e-Haq Zinda Kiya Hai
Ko-ee Baghdad Waale Se Ye Keh De
Ke Waqt Islam Par Aa Kar Par’a Hai
Ko-ee Ho Is Taraf Rahmat Ka Phera
Ke Banda Raah Teri Tak Raha Hai
Kidhar Ho Qaadiri Dulha Kidhar Ho
Ye Har Mujrim Ke Lab Par Iltija Hai
Sharaf Kis Se Bayaañ Ho Tere Sar Ka
Wali Ka Taaj Tera Naqsh-e-Paa Hai
Qadam Tera Liya Hai Jis Ne Sar Par
Wo Be Shubha Wali-e-Ba Khuda Hai
Na Kyuñ Hoñ Hind Ke Sultaan Khwaja
Ke Aankhoñ Par Qadam Tera Liya Hai
Wali Kehte Haiñ Jin Ko Haiñ Ra’iyyat
Shah-e-Baghdad Shaah-e-Awliya Hai
Tu Hai Wo Phool Baagh-e-Mustafa Ka
Ke Khushboo Se Teri ‘Aalam Basa Hai
Tu Zahra-o-‘Ali Ka Noor-e-Ainain!
Tu Sham’-e-Bazm Shaah-e-Karbala Hai
Hasan Ke Phool Mahka Tujh Se Baghdad
Husaini ‘Itr Tu Sab Meiñ Basa Hai
Shaheed-e-‘Ishq Kar Rangat Racha De
Ke Tu Ibn-e-Shaheed-e-Karbala Hai
Salaateen-e-Jahaañ Haiñ Us Ke Mangta
Jo Tere Aastaane Ka Gada Hai
Mareezaan-e-Jahaañ Ki Fazl Rab’b Se
Tumhaare Haath Meiñ Kaamil Dawa Hai
Shifa Chaaho To Jald Aawo Mareezo
Dar-e-Ghaus-ul-Wara Daarush Shifa Hai
Laga Hai Dil Ghulaamoñ Ka Thikaane
‘Mureedi La Takhaf’ Jab Se Suna Hai
Tere Darbaar-e-Pur Anwaar Se Ghaus
Ko-ee Bhi Laut’ Kar Khaali Phira Hai
Jo Dam Meiñ Chor Ko Abdaal Kar De
Wo Rutba Ghaus-e-Azam Ko Mila Hai
Jahaañ Phayla De Jholi Un Ka Mangta
Wahiñ Maujood Daata Ki ‘Ata Hai
Hamaari Mushkileñ Aasaan Kar De
Ke Tu Ibn-e-‘Ali Mushkil Kusha Hai
Mita De Zor A’da-e-La’eeñ Ka
Ke Tu Ibn-e-‘Ali Sher-e-Khuda Hai
Jo Darbaar-e-Ilaahi Meiñ Ho Pursish
Tu Keh Dena Ke Ye Banda Mera Hai
‘Amal Waale To Haiñ Naazaañ ‘Amal Par
Mujhe Ya Ghaus Tera Aasra Hai
Bala-oñ Meiñ Ghira Hai Tera Banda
Khabar Le Ghaus Tera Aasra Hai
Bhanwar Meiñ Phas Gaya Mera Safina
Madad Farma Ke Tera Aasra Hai
Nakeerain Aa Gaye Meri Lahad Meiñ
Mere Ghaus Ab To Tera Aasra Hai
Hai Neyk-o-Bad Ki Pursish Awr Maiñ ‘Aasi
Mere Ghaus Aaj Tera Aasra Hai
Siya Haiñ Naama-e-A’maal Mere,
Mere Ghaus Aaj Tera Aasra Hai
Maiñ Mujrim Awr Darbaar-e-‘Adaalat
Mere Ghaus Aaj Tera Aasra Hai
Wahi Kar Jo Mere Haq Meiñ Ho Behtar
Ke Tu Shaah-e-‘Ata Bahr-e-Sakha Hai
Ghulaamoñ Ka Na Kyuñ Ho Paar Ber’a
Ke Un Ke Haath Meiñ Daaman Tera Hai
Gali Ho Ghaus Ki Awr Mera Bistar
Ilaahi! Bas Ye Apni Iltija Hai
JAMEEL-E-QAADIRI Phayla De Jholi
Ke Un Ke Dar Se Baara Batt Raha Hai