Rakhta Hai Jo Ghaus e Azam Se Niyaz

Rakhta Hai Jo Ghaus-e-Azam Se Niyaz
Hota Hai Khush Us Se Maula-e-Be Niyaz

Hongi Aasaan Saari Teri Mushkileñ
Sidq-e-Dil Se Ghaus Ki Kar De Niyaz

Hai Fazilat Gyarhweeñ Taareekh Meiñ
Is Liye Afzal Hai Is Meiñ De Niyaz

Saaz-o-Saamaañ Ki Nahiñ Takhsees Kuch
Jo Muyas’sar Ho Usi Par De Niyaz

Haañ Adab Ta’zeem Laazim Hai Zaroor
Be Adab Hargiz Na Khaaye Ye Niyaz

Haiñ Jo Bad-Mazhab Wahabi Raafzi
Hai Haraam Un Ko Agar Khaaye Niyaz

Gandhwi Bhi Be-Adab Gumrah Hai
Hai Haraam Us Par Agar Kuch De Niyaz

Ay JAMEEL-E-QAADIRI Hoshiyaar Baash
‘Umr Bhar Ch’hoote Na Tujh Se Ye Niyaz

Share Now