Ya Ghaus al-Madad ! Ya Ghaus al-Madad !
Ghulam-e-Ghaus-e-A’zam Bekas-o-Muztar Nami Maanand
Agar Maanad Shab-e-Maanad Shab-e-Digar Nami Maanad
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Ik Baar Bulaya Tha, Har Baar Bulayenge
Is Saal Yaqeenan Hum Baghdad Ko Jaayenge
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Bachpan Se Meri Maa Ne Mujh Ko Ye Sikhaya Hai
Jab Aaye Koi Aafat Ya Ghaus Pukara Hai
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Mere Ghaus Piya Pal Mein Murdon Ko Jilaate Hain
Aur Chor Ko Bhi Pal Mein Abdaal Banaate Hain
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Peeron Ke Aap Peer Hain, Ya Ghaus ! Al-Madad
Ahl-e-Safa Ke Meer Hain, Ya Ghaus ! Al-Madad
Sadqa Rasool-e-Paak Ka Jholi Mein Daal Do
Hum Qadri Faqeer Hain, Ya Ghaus ! Al-Madad
Teer-e-Nazar Se Pher Do Saare Alam Ke Teer
Kya Ye Alam Ke Teer Hain, Ya Ghaus ! Al-Madad
Dil Ki Sunaaye Akhtar Dil Ki Zaban Mein
Kehte Ye Behte Neer Hain, Ya Ghaus ! Al-Madad
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Karte Hain Jinn-o-Bashar Har Waqt Charcha Ghaus Ka
Baj Raha Hai Chaar-Su Alam Mein Danka Ghaus Ka
Naar-e-Dozakh Se Bachaayega Sahara Ghaus Ka
Le Chalega Khuld Mein Adna Ishaara Ghaus Ka
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saaya Ghaus-e-A’zam Ka
Humein Donon Jahan Mein Hai Sahara Ghaus-e-A’zam Ka
Hamaari Laaj Kis Ke Haath Hai ! Baghdad Waale Ke
Museebat Taal Dena Kaam Kis Ka ! Ghaus-e-A’zam Ka
Gaye Ik Waqt Mein Sattar Mureedon Ke Yahan Hazrat
Samajh Mein Aa Nahin Sakta Mu’amma Ghaus-e-A’zam Ka
Nida Dega Munaadi Hashr Mein Yun Qadriyon Ko
Kidhar Hain Qadri ? Kar Lein Nazaara Ghaus-e-A’zam Ka
Sada-e-Soor Sun Kar Qabr Se Uthte Hi Poochunga
Ki Bataao Kidhar Hai Aastaana Ghaus-e-A’zam Ka
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Main Qadri Hoon, Shukr Hai Rab-e-Qadeer Ka
Daaman Hai Mere Haath Mein Peeran-e-Peer Ka
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Tere Jad Ki Hai Baarahvin, Ghaus-e-A’zam !
Mili Hai Tujhe Gyaarahvin, Ghaus-e-A’zam !
Koi Un Ke Rutbe Ko Kya Jaanta Hai
Muhammad Ke Hain Jaa-Nasheen Ghaus-e-A’zam
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Mere Ghaus-e-A’zam Jilaani ! Mere Ghaus-e-A’zam Jilaani !
Ya Ghaus-e-A’zam Jilaani ! Ya Ghaus-e-A’zam Jilaani !
Qadiriyam Na’ra-e-Ya-Ghaus-e-A’zam Mi-Zanam
Dam zee Shaikh Ahmad Raza Khan Qutb-e-‘Alam Mi-Zanam