Nahi Mere Acche Amal Ghaus Ul Azam

Nahi Mere Acche Amal Ghaus-Ul-Azam
Magar Tum Pe Rakhta Huñ Bal Ghaus-ul-Azam

Tera Daaman-e-Paak Mujh Se Na Ch’hoota
Ye Hai ‘Umr Ka Maa Hasal Ghaus-ul-Azam

Husain-o-Hasan Phool Baagh-e-Nabi Ke
Usi Baagh Ka Tu Hai Phal Ghaus-ul-Azam

Hai Qawl-e-Khizr Ye Ke Sab Awliya Meiñ
Nahiñ Tera Ko-ee Badal Ghaus-ul-Azam

Bhikaari Tere Shams-o-Zuhra ‘Utaarid
Gada Mushtari-o-Zuhal Ghaus-ul-Azam

Tere Naam Ka Jo Bhi Ta’weez Baandhe
Na Ho Us Ko Ko-ee Khalal Ghaus-ul-Azam

Kiya Tu Ne Aaraam Us Jaañ Ba-Lab Ko
Wo Thay Dast-o-Pa Jis Ke Shal Ghaus-ul-Azam

Shifa Khaana-e-Aam Darbaar-e-Aali
Tu Shaafi-e-Jumla ‘Ilal Ghaus-ul-Azam

Kiya Ek Nigaah-e-Karam Ne Tumhaari
Ko-ee Qutb Ko-ee Badal Ghaus-ul-Azam

Jo Dunya Meiñ Hoga Madad Khwaah Un Se
Sambhaaleñge Kal Us Ki Kal Ghaus-ul-Azam

Khila De Kali Dil Ki Maiñ Tere Sadqe
Pareshaan Huñ Aaj Kal Ghaus-ul-Azam

Dilaasay Ko Rakh Haath Seene Pe Mere
Ke Dil Par Hai Ranjoñ Ka Dal Ghaus-ul-Azam

Haiñ Mushkil Kusha Jad’d-e-Amjad Tumhaare
Karo Mere ‘Uqdoñ Ko Hal Ghaus-ul-Azam

Karam Ke Haiñ Pyaase Tere Naam Lewa
Khulay Aab-e-Rahmat Ka Nal Ghaus-ul-Azam

Teri Khaak-e-Dar Ka Bana-eñ Jo Surma
To Aankheñ Hoñ Meri Kh’haral Ghaus-ul-Azam

Tamanna Hai Dil Meiñ Ke Baghdad Pahunchuñ
Wahiñ Mujh Ko Aaye Ajal Ghaus-ul-Azam

Tere Dar Pe Rakkha Huwa Ho Mera Sar
Jab Aaye Payaam-e-Ajal Ghaus-ul-Azam

Mujhe Shakl Apni Dikhaana Khudara
Jab Aaye Payaam-e-Ajal Ghaus-ul-Azam

Bahaar Aaye Jis Se Hawa Wo Chala De
Khilay Mere Dil Ka Kañwal Ghaus-ul-Azam

Huwi Chaar Jaanib Se A’da Ki Yoorish
Zara Teygh Le Kar Sambhal Ghaus-ul-Azam

Kuch Aisa Huwa Teri ‘Izzat Ka Shohra
Ke Goonj Ut’thay Dasht-o-Jabal Ghaus-ul-Azam

Ye Qaadir Ke Ghar Se Mili Tujh Ko Qudrat
Qaza Khwaab Se Di Badal Ghaus-ul-Azam

Ataa Deen-e-Islam Ko Ho Taraq’qi
Mita Saare Jhoote Milal Ghaus-ul-Azam

JAMEEL Aarzoo Hai Ke Mujh Ko Bula Kar
Suneñ Mujh Se Khud Ye Ghazal Ghaus-ul-Azam

Share Now