Mustafa Ki Hai Yeh Shaan
Woh Hain Jaan-e-Imaan
Main Qurban Main Qurban
Jin Ki Shaan Hai Nirali
Saari Ummat Ke Hain Waali
Har Ada Hai Aalishaan
Main Qurban Main Qurban
Mustafa Ki Hai Yeh Shaan
Woh Hain Jaan-e-Imaan
Main Qurban Main Qurban
Rab Ne Buland Ki Hai Mustafa Ki Shaan Ko
La-Makaan Mein Le Gaya Phir Apne Mehmaan Ko
Un Ki Rif’at Ka Yeh Rang Dekh Kar Hain Sab Dang
Chaand, Suraj, Aasman Main Qurban Main Qurban
Mustafa Ki Hai Yeh Shaan
Woh Hain Jaan-e-Imaan
Main Qurban Main Qurban
Khushiyan Manao Aaj Aamad-e-Huzoor Hai
Aamnah Ke Ghar Noor-e-Haq Ka Zuhoor Hai
Apne Ghar Ko Sajao Sab Milad Manao
Aate Hain Jaan-e-Jahan Main Qurban Main Qurban
Mustafa Ki Hai Yeh Shaan
Woh Hain Jaan-e-Imaan
Main Qurban Main Qurban
Kufr Ko Tha Naaz Behad Apni Zabaan Par
Goonga Woh Samajhte Sabhi Ko Is Gumaan Par
Pesh-e-Mahboob-e-Rab Fusaha Aaye Jab
Hue Sab Be-Zabaan Main Qurban Main Qurban
Mustafa Ki Hai Yeh Shaan
Woh Hain Jaan-e-Imaan
Main Qurban Main Qurban
Ghair Ki Thokar Na Khayein, Un Ke Tukdon Pe Palein
Maslak-e-Raza Ki Khidmat Ka Sharaf Hum Ko Mile
Hai Yeh Iltija Khuda Ilyas Aur Ahmad Raza
Padhein Naatein Aalishaan Main Qurban Main Qurban
Mustafa Ki Hai Yeh Shaan
Woh Hain Jaan-e-Imaan
Main Qurban Main Qurban
Naatein Likhta Hoon Main Aaqaye Do-Jahan Ki
Baatein Karta Hoon Sada Waliyon Ki Shaan Ki
Tum Ho Dana-e-Ghuyub Kehta Hai Yehi Ayyub
Do-Jahan Ke Ae Sultan Main Qurban Main Qurban
Mustafa Ki Hai Yeh Shaan
Woh Hain Jaan-e-Imaan
Main Qurban Main Qurban
مصطفیٰ کی ہے یہ شان
وہ ہیں جان ایمان
میں قربان میں قربان
جن کی شان ہے نرالی
ساری امت کے ہیں والی
ہر ادا ہے عالیشان
میں قربان میں قربان
مصطفیٰ کی ہے یہ شان
وہ ہیں جان ایمان
میں قربان میں قربان
رب نے بلند کی ہے مصطفیٰ کی شان کو
لامکاں میں لے گیا پھر اپنے مہمان کو
اُن کی رفعت کا یہ رنگ دیکھ کر ہیں سب دنگ
چاند، سورج، آسمان میں قربان میں قربان
مصطفیٰ کی ہے یہ شان
وہ ہیں جان ایمان
میں قربان میں قربان
خوشیاں مناٶ آج آمد حضور ہے
آمنہ کے گھر نور حق کا ظہور ہے
اپنے گھر کو سجاٶ سب میلاد مناٶ
آتے ہیں جان جہان میں قربان میں قربان
مصطفیٰ کی ہے یہ شان
وہ ہیں جان ایمان
میں قربان میں قربان
کفر کو تھا ناز بےحد اپنی زبان پر
گونگا وہ سمجھتے تھے سب کو اِس گمان پر
پیشِ محبوب رب فصَحاء آۓ جب
ہوۓ سب بےزبان میں قربان میں قربان
مصطفیٰ کی ہے یہ شان
وہ ہیں جان ایمان
میں قربان میں قربان
غیر کی ٹھوکر نہ کھاٸیں، اُن کے ٹکڑوں پہ پلے
مسلک رضا کی خدمت کا شرف ہم کو ملے
ہے یہ التجا خدا الیاس اور احمد رضا
پڑھے نعتیں عالیشان میں قربان میں قربان
مصطفیٰ کی ہے یہ شان
وہ ہیں جان ایمان
میں قربان میں قربان
نعتیں لکھتا ہوں میں آقاۓ دوجہان کی
باتیں کرتا ہوں سدا ولیوں کی شان کی
تم ہو داناۓ غیوب کہتا ہے یہی ایوبؔ
دوجہاں کے اے سلطان میں قربان میں قربان
مصطفیٰ کی ہے یہ شان
وہ ہیں جان ایمان
میں قربان میں قربان