Muhammad Mazhar e Kaamil Haiñ Haq Ki Shaan e Izzat Ka
Nazar Aata Hai Is Kasrat Me Kuch Andaaz Wahdat Ka
Yahi Hai Asl e Aalam, Maadaah e Ijaad e Khalqat Ka
Yahaañ Wahdat Me Barpa Hai Ajab Hangaama Kasrat Ka
Gada Bhi Muntazir Hai Khuld Me Neykoñ Ki Da’wat Ka
Khuda Din Khayr Se Laaye Sakhi Ke Ghar Ziyaafat Ka
Gunah Maghfur, Dil Roshan, Khunuk Aankheñ, Jigar Thanda
Ta’aal-Allah Maah e Taiba Aalam Teri Tal’at Ka
Na Rakhi Gul Ke Josh e Husn Ne Gulshan Me Jaa Baaqi
Chatakta Phir Kahaañ Ghuncha Ko-ee Baagh e Risaalat Ka
Barha Ye Silsila Rahmat Ka, Daur e Zulf e Waala Me
Tasalsul Kaale Kowsoñ Reh Gaya Isyaañ Ki Zulmat Ka
Saf e Maatam Uthay Khaali Ho Zindaañ Tooteñ Zanjeereñ
Gunahgaaroñ Chalo Mawla Ne Dar Khola Hai Jannat Ka
Sikhaaya Hai Ye Kis Gustaakh Ne Aa-ina Ko Ya Rab’b
Nazaara Roo e Jaanaañ Ka Bahaana Kar Ke Hayrat Ka
Idhar Ummat Ki Hasrat Par Udhar Khaaliq Ki Rahmat Par
Niraala Tawr Hoga Gardish e Chashm e Shafa’at Ka
Barheñ Is Darja Mawjeñ Kasrat e Afdaal e Waala Ki
Kinaara Mil Gaya Is Nahr Se Darya e Wahdat Ka
Kham Zulf e Nabi Saajid Hai Mehraab e Do Abru Me
Ke Ya Rab’b Tu Hee Waali Hai Siyaah-kaaraan e Ummat Ka
Madad Ay Joshish e Girya Baha De Koh Awr Sehra
Nazar Aa Jaaye Jalwa Be Hijaab Us Paak Turbat Ka
Huwe Kam Khwaabi e Hijraañ Me Saatoñ Parde Kam Khwaabi
Tasaw’wur Khoob Baandha Aankhoñ Ne Astaar e Turbat Ka
Yaqeeñ He Waqt e Jalwa Lagh-zisheñ Paa-e Nigaah Paaye
Milay Josh e Safa e Jism Se Paa Bos Hazrat Ka
Yahaañ Chir’ka Namak, Waañ Marham e Kafoor Haath Aaya
Dil e Zakhmi Namak Parwarda Hai Kis Ki Malaahat Ka
Ilaahi Muntazir Huñ Wo Khiraam e Naaz Farma-eñ
Bicha Rakha He Farsh Aankhoñ Ne Kam-Khwaab e Basaarat Ka
Na Ho Aaqa Ko Sajdah Adam o Yusuf Ko Sajdah Ho
Magar Sad Zaraa-e’ Daab Hai Apni Shari’at Ka
Zabaan e Khaar Kis-Kis Dard Se Un Ko Sunaati Hai
Tarapna Dasht e Taiba Me Jigar Afgaar Furqat Ka
Sirhaane Un Ke Bismil Ke Ye Betaabi Ka Maatam Hai
Shah e Kawsar Tarah’hum Tishna Jaata Hai Ziyaarat Ka
Jinheñ Marqad Me Taa Hashr Ummati Keh Kar Pukaaroge
Hameñ Bhi Yaad Kar Lo Un Me Sadqa Apni Rahmat Ka
Wo Chamke Bijliyaañ Ya Rab’b Tajal’li-Haa-e Jaanaañ Se
Ke Chashm e Toor Surma Ho Dil e Musthaq Rooyat Ka
Raza e Khasta Josh e Bahr e ’Isiyaañ Se Na Ghabraana
Kabhi To Haath Aa Jaayega Daaman Unki Rahmat Ka