Mira Waliyon Ke Sardar ShayanLillah
Teri Unchi Hai Sarkar ShayanLillah
ShayanLillah Ya Abdal Qadir Jillani
Haath Phailaiye Dar Par Khada Hai Gareeb
Tu Hai Rab Ka Wali Tu Nabi Ke Qareeb
Shah e Jilaa Jagade Mera Bhi Naseeb
Mai Hu Bimaar Tera Tu Mera Tabeeb
Mere Bhi Dard Ki Aaj De De Dawa
Tera Banda Hai Lachaar, ShayanLillah
ShayanLillah Ya Abdal Qadir Jillani
Dal De Mujh Pe Apni Ataa Ki Nazar
Door Kar Mujh Se Khauf e Qaza O Ka Dar
Gham Ki Taarekiya Sab Meri Khatam Kar
Zindagi Ki Ho Meri Nayi Ik Saher
Kashti e Naa Tawa Ka Tu Hai Na Khuda
Karde Mera Beda Paar, ShayanLillah
Teri Aye Shah e Jilaa Badi Shaan Hai
Marhaba Auliya Ka Tu Sultan Hai
Qadriyo Ko Tujh Par Bada Naaz Hai
Teri Nisbat Hi To Apni Pehchan Hai
Hum Ko Jo Kuch Mila Tere Dar Se Mila
Tera Aisa Hai Darbar, ShayanLillah
Shaan Unchi Teri Mere Gaus e Jali
Tere Zer e Qadam Saare Gaus o Wali
Mere Murjhaaye Dil Ki Khila De Kali
Meri Qismat Buri Ho To Karde Bhali
Mere Lafzo Se Bhi Shaan Teri Siwaa
Ibn e Haidar e Karrar, ShayanLillah
Urs Me Tere Hazir Hua Hoo Shaha
Jholiiya Khol Kar De Raha Hoo Sada
Aaj Daaman Murado Se Bharde Mera
Aye Gani Tere Dar Hai Bikhari Khada
Tere Nana Hai Mukhtar e Qul Sarwara
Dada Haidar e Karrar, ShayanLillah
Faiz Tera Sada Hum Pe Jaari Rahe
Yun Hi Teri Nazar Pyari Pyari Rahe
Qaim Ulfat Dilo Me Tumhari Rahe
Tum Se Ulfat Hi Pehchaa’n Hamari Rahe
Jab Talak Hum Jiye Ho Yahi Mashgala
Tere Naam Ki Takrar, ShayanLillah
Tere Darbar Me Agaya Jo Gada
Apni Man Ki Murado Ko Wo Pagaya
Sun Ubaid e Raza Ka Bhi Ye Mudda’aa
Raqs Karti Hai Lab Par Yahi Ik Sada
Chehra e Paak Se Aaj Parda Utha
Mere Mira Bas Ik Baar, ShayanLillah
ShayanLillah Ya Abdal Qadir Jillani
ShayanLillah Ya Abdal Qadir Jillani