Jahan Jahan Bhi Munawwar Hain Jis Kisi Ke Chiragh
Woh Sab Hain Sadqa-e-Paidaish-e-Nabi Ke Chiragh
Bujha Sako To Bujha Do Yeh Mehr-o-Mah-o-Nujoom
Ae Najdiyo! Yeh Hain Milad Ki Khushi Ke Chiragh
Jahan Mein Aa Gaya Bakhshish Karane Wala Rasool
Jalayein Kyun Na Gunahgar Aaj Ghee Ke Chiragh
Nabi Ke Noor Ki Dhadkan Agar Nahi Paate
Jale Na Hote Do-Aalam Ki Zindagi Ke Chiragh
Nazar Ke Hote Hue Be-Nazar Thi Yeh Duniya
Diye Nabi Ne Hidayat Ki Roshni Ke Chiragh
Mili Jahan Ko Basarat Bhi Aur Baseerat Bhi
Dilon Mein Rakh Diye Aqa Ne, Aagahi Ke Chiragh
Baghair Ishq-e-Nabi, Radd Hain Ta’aton Ke Diye
Qabool Hote Hain Ulfat Ki Bandagi Ke Chiragh
Agar Hai Uswa-e-Sarkar Par Safar Tera
Qadam Qadam Pe Jaleingey Salamati Ke Chiragh
Huzoor Aayein To Mil Jaye Daulat-e-Izzat
Bane Ameer, Hamari Bhi Jhonpdi Ke Chiragh
Dobara Ta-ke Ehanat Ki Lau Ubhar Na Sake
Gale Se Kaat Do Aqa Ki Dushmani Ke Chiragh
Ho Jaan-o-Tan Se Jo Pehra Nabi Ki Izzat Par
Kabhi Bujhengey Na Ummat Ki Bartari Ke Chiragh
Agar Talab Hai Ke Izzat Ki Roshni Mein Raho
Na Bujhne Do Kabhi Aqa Ki Pairwi Ke Chiragh
Dhale Hain Aankh Ki Surat Mein Bahr-e-Deed-e-Rasool
Murad Paayein Hamari Sana-Gari Ke Chiragh
Fareedi Un Ki Ata Ne Sambhal Rakkha Hai
Labon Ke Taaq Pe Jo Hain Sukhanwari Ke Chiragh