Koi Gul Baaqi Rahega Na Chaman Reh Jaaega
Par Rasoolullah Ka Deen-e-hasan Reh Jaaega
Ham-safeero Baag Main Hai Koi Dam Ka Chehchaha
Bulbulen Ud Jaaengi Soona Chaman Reh Jaaega
Atlas-o-kam Khwaab Ki Poshaak Pe Naazaa Na Ho
Is Tan-e-be-jaan Par Khaaki Kafan Reh Jaaega
Naam-e-shaahaan-e-jahaan Mit Jaaenge Lekin Yahaan
Hashr Tak Naam-o-nishaan-e-panjatan Reh Jaaega
Jo Padhega Saahib-e-laulaak Ke Upar Durood
Aag Se Mahfooz Us Ka Tan-badan Reh Jaaega
Sab Fanaa Ho Jaaenge Kaafi Wa Lekin Hashr Tak
Naa’t-e-hazrat Ka Zubaanon Par Sukhan Reh Jaaega