Khwaja e Khwajgaan Shah Dana Piya

Khwaja e Khwajgaan Shah Dana Piya

Hum Faqeeroon Pe Bhi Ik Nazar Keejiyee
Khwaja-e-Khwajgaan Shah Dana Piya
Sab Ke Daaman Muraadon Se Bhar Deejiyee
Haami-e-Bekasaan Shah Dana Piya

Gulshan-e-Fatima Ka Mehakta Gulaab
Aasmaan-e-Wilayat Ka Tu Maahtaab
Har Jihat Se Teri Zaat Hai La-jawaab
Ae Ameer-e-Zamaan Shah Dana Piya

Shah-e-Kaunain Ka Tujh Pe Faizan Hai
Tujh Ko Haasil Wilayat Ka Irfaan Hai
Qalb-e-ahl-e-sunan Tujh Pe Qurbaan Hai
Nayyar-e-Saalikaan Shah Dana Piya

Teri Seerat Ki Har-samt Tanweer Hai
Kitni Oonchi Shaha Teri Tauqeer Hai
Ahl-e-Surat Ke Peeron Ka Tu Peer Hai
Naazish-e-Aabidaan Shah Dana Piya

Shahar-e-Surat Ke Raja Hain Dana Piya
Fazl-e-baari Se Data Hain Dana Piya
Kya Bataoon Ke Kya Kya Hain Dana Piya
Murshid-e-ins-o-jaan Shah Dana Piya

Hind Mein Chaarsu Aap Ka Naam Hai
Aap Se Qalb-e-muztar Ko Aaram Hai
Fazl Karna Shaha Aap Ka Kaam Hai
Ae Mere Meharbaan Shah Dana Piya

Tera Nana Shahanshah-e-abraar Hai
Tera Baba Wilayat Ka Sardar Hai
Sirr-e-wahdat Se Tu Khoob Sarshaar Hai
Haq Ke Ae Raazdaan Shah Dana Piya

Tu Hai Ibn-e-shahanshah-e-kaun-o-makaan
Tujh Se Qasr-e-tariqat Hui Zau-fishaan
Khil Utha Tujh Se Islam Ka Gulistaan
Deen Ke Paasbaan Shah Dana Piya

Urs Ka Hai Samaa Dil Yeh Masroor Hai
Ishq-e-Dana Se Dil Mera Makhmoor Hai
Kitna Pur-kaif Hai Kitna Pur-Noor Hai
Aap Ka Aastaan Shah Dana Piya

Lab Pe Midhat Hai Dil Mein Teri Yaad Hai
Zikr Se Tere Qalb-e-hazeen Shaad Hai
Ghaul-e-baatil Magar Tujh Se Barbaad Hai
Qaaid-e-kaarwaan Shah Dana Piya

Baada-e-ishq-e-wahdat Pila Deejiyee
Apni Midhat Ka Mujh Ko Sila Deejiyee
Qalb-e-Ayyub Ko Ab Jila Deejiyee
Rahat-e-aashiqaan Shah Dana Piya

Share Now