Khwaja e Hind Wo Darbaar Hai Aala Tera

Khwaja e Hind Woh Darbaar He Aala Tera
Khusru e Dahr Huwa Maangne Waala Tera

Faiz Sultaan e Sakhaawat He Niraala Tera
Kabhi Mahroom Nahiñ Maangne Waala Tera

Teri Chawkhat Pe Jo Aaya Woh Bana Shaah e Zamaañ
Khusrawa Dahr Me Farmaan He Chalta Tera

Sadqa He Khwaja e Ajmer Ka Tujh Pe Akhtar
Burj e Rif’at Me Chamakta He Sitaara Tera

Share Now