Shahar-e-Surat Ka Jo Sultan Hai
Khwaja Dana Hamari Jaan Hai
Ahl-e-Dil Gosh Bar Aawaaz Hain
Khwaja Dana Mera Unwaan Hai
Saailo Un Ke Dar Par Ja Pado
Jaari Aathon Pehar Faizan Hai
Jaanwar Bhi Karein Zikr Saath Mein
Aap Ki Yeh Nirali Shaan Hai
Ilm-o-Taqwa-o-Ishq-e-Mustafa
Aap Ki Zeest Ka Unwaan Hai
Tum Hamare Saron Ke Taaj Ho
Ahl-e-Sunnat Ka Yeh Elaan Hai
Jis Ko Dekha Yehi Kehta Mila
Khwaja Dana Pe Dil Qurban Hai
Apne Mohsin Ko Na Bhoolo Kabhi
Un Ka Hum Par Bada Ehsaan Hai
Un Ke Dar Par Mile Dil Ko Sukoon
Un Ka Dar Daafe-e-Khaljaan Hai
Ab Ke Phir Dastgeeri Kijhye
Zor Par Fitnon Ka Toofan Hai
Kar Do Nazar-e-Karam Ayyub Par
Is Ke Dil Ka Yehi Armaan Hai