Khuda Ke Fazl Se Ham Par Hai Saaya Ghaus-e-Azam Ka
Hamen Donon Jahaan Mein Hai Sahaara Ghaus-e-Azam Ka
Baliyyaat-o-Gham-o-Afkaar Kyun Kar Ghair Sakte Hain
Saroñ Par Naam Lewoñ Ke Hai Panja Ghaus-e-Azam Ka
Mureedi Laa Takhaf Keh Kar Tasalli Di Ghulamon Ko
Qiyaamat Tak Rahe Be-Khauf Banda Ghaus-e-Azam Ka
Jo Apne Ko Kahe Mera Mureedoñ Mein Wo Daakhil Hai
Ye Farmaaya Huwa Hai Mere Aaqa Ghaus-e-Azam Ka
Sijil In Ko Diya Wo Rab Ne Jis Mein Saaf Likha Hai
Ke Jaaye Khuld Mein Har Naam Lewa Ghaus-e-Azam Ka
Hamaari Laaj Kis Ke Haath Hai Baghdad Waale Ke
Musibat Taal Dena Kaam Kis Ka Ghaus-e-Azam Ka
Jahaaz-e-Taajiraan Girdaab Se Fauran Nikal Aaya
Wazifa Jab Unhoñ Ne Parh Liya Ya Ghaus-e-Azam Ka
Gaye Ek Waqt Mein Sattar Mureedoñ Ke Yahaan Aaqa
Samajh Mein Aa Nahin Sakta Mu’amma Ghaus-e-Azam Ka
Shifa Paate Hain Sadha Jaan-Balab Amraaz-e-Mohlik Se
Ajab Daarush-Shifa Hai Aastaana Ghaus-e-Azam Ka
Na Kyun Kar Awliya Is Aastaane Ke Banaayeñ Mangta
Ke Iqleem-e-Wilaayat Par Hai Qabza Ghaus-e-Azam Ka
Bula Kar Kaafiroñ Ko Dete Hain Abdaal Ka Rutba
Hamesha Josh Par Rehta Hai Darya Ghaus-e-Azam Ka
Bilaadullahi Tahta Hukmi Se Ye Zaahir Hai
Ke Aalam Mein Har Ek Shai Par Hai Qabza Ghaus-e-Azam Ka
Wa Wallaani Alal Aqtaabi Jam’an Saaf Kehta Hai
Ke Har Ek Qutb Hai Aalam Mein Chela Ghaus-e-Azam Ka
Fa Hukmi Naafidhun Fi Kulli Haalin Se Huwa Zaahir
Tasarruf Ins-o-Jinn Sab Par Hai Aaqa Ghaus-e-Azam Ka
Salaateen-e-Jahaan Kyun Kar Na Un Ke Ro’b Se Kaanpeñ
Na Laaya Sher Ko Khatre Mein Kutta Ghaus-e-Azam Ka
Huwi Ek Deo Se Larki Riha Us Naam Lewa Ki
Parha Jangal Mein Jab Us Ne Wazifa Ghaus-e-Azam Ka
Huwa Mawqoof Fauran Hi Barasna Ahl-e-Majlis Par
Jo Paaya Abr-e-Baaran Ne Ishaara Ghaus-e-Azam Ka
Naya Hafta Naya Din Saal-e-Nau Jis Waqt Aata Hai
Har Ek Pehle Bajaa Laata Hai Mujra Ghaus-e-Azam Ka
Jo Haq Chaahe Wo Ye Chaaheñ, Jo Ye Chaaheñ Wo Haq Chaahe
To Mit Sakta Hai Phir Kis Tarha Chaaha Ghaus-e-Azam Ka
Faqeehoñ Ke Diloñ Se Dho Diya Un Ke Sawaaloñ Ko
Diloñ Par Hai Bani Aadam Ke Qabza Ghaus-e-Azam Ka
Wo Keh Kar Qum Bi-Iznillah Jila Dete Hain Murdoñ Ko
Bahut Mashhoor Hai Ihya-e-Mauta Ghaus-e-Azam Ka
Jilaaya Ustukhwaan-e-Murgh Ko Dast-e-Karam Rakh Kar
Bayaan Kya Ho Sakay Ihya-e-Mauta Ghaus-e-Azam Ka
Ilayya Ya Mubaarak Aati Thi Aawaaz Khalwat Mein
Yahin Se Jaan Le Munkir Tu Rutba Ghaus-e-Azam Ka
Farishtay Madrasay Tak Saath Pahunchaane Ko Jaate Thay
Ye Darbaar-e-Ilaahi Mein Hai Rutba Ghaus-e-Azam Ka
Safar Se Waapsi Mein Deen-e-Aqdas Ko Kiya Zinda
Muhiyuddeen Huwa Yun Naam-e-Waala Ghaus-e-Azam Ka
Jo Farmaaya Ke Dosh-e-Awliya Par Hai Qadam Mera
Liya Sar Ko Jhuka Kar Sab Ne Talwa Ghaus-e-Azam Ka
Dam-e-Farmaan Khorasaan Mein Mu’eenuddeen Chishti Ne
Jhuka Kar Sar Liya Aankhoñ Pe Talwa Ghaus-e-Azam Ka
Na Kyun Kar Saltanat Donoñ Jahaan Ki Unko Haasil Ho
Saroñ Par Apne Lete Hain Jo Talwa Ghaus-e-Azam Ka
Lu’aab Apna Chataaya Ahmad-e-Mukhtaar Ne Unko
To Phir Kaise Na Hota Bol-Baala Ghaus-e-Azam Ka
Rasoolullah Ne Khil’at Pehnaaya Bar-Sar-e-Majlis
Bajay Kyun Kar Na Phir Aalam Mein Danka Ghaus-e-Azam Ka
Muharrir Chaar Sau Majlis Mein Haazir Ho Ke Likhte Thay
Huwa Karta Tha Jo Irshaad-e-Waala Ghaus-e-Azam Ka
Agar Che Murgh Sab Ke Bol Kar Khaamosh Hote Hain
Magar Haan Murgh Bolega Hamesha Ghaus-e-Azam Ka
Khulay Haftaad Dar Ek Aan Mein Ilm-e-Ladunni Ke
Khazeena Ban Gaya Ilmoñ Ka Seena Ghaus-e-Azam Ka
Hamaara Zaahir-o-Baatin Hai Un Ke Aage Aaina
Kisi Shai Se Nahin Aalam Mein Parda Ghaus-e-Azam Ka
Parhi Laa Hawl Aur Shaitaan Ke Dhokay Ko Kiya Ghaarat
Uloom-o-Fazl Se Wo Noor Chamka Ghaus-e-Azam Ka
Qasiday Mein Janaab-e-Ghaus Ke Dekho Nazartu Ko
To Soojhe Door Ki Zaahir Ho Rutba Ghaus-e-Azam Ka
Rahe Paaband Ahkaam-e-Shari’at Ibtida Hi Se
Na Chhoota Sheer-Khwaari Mein Bhi Rauza Ghaus-e-Azam Ka
Hai Jab Arsh-e-Ilaahi Pehli Manzil Un Ke Zeenay Ki
To Phir Kis Ki Samajh Mein Aaye Rutba Ghaus-e-Azam Ka
Muhammad Ka Rasooloñ Mein Hai Jaise Martaba Aala
Hai Afzal Awliya Mein Yun Hi Rutba Ghaus-e-Azam Ka
Ata Ki Hai Bulandi Haq Ne Ahlullah Ke Jhandoñ Ko
Magar Sab Se Kiya Ooncha Pharera Ghaus-e-Azam Ka
Isi Baais Se Hain Qabroñ Mein Apni Awliya Zinda
Hayaat-e-Daaimi Paata Hai Kushta Ghaus-e-Azam Ka
Meri Jaan-Kundani Ka Waqt Raahat Se Badal Jaaye
Sar-e-Baaleen Agar Ho Jaaye Phera Ghaus-e-Azam Ka
Rihaai Mil Gayi Us Ko Azaab-e-Qabr-o-Mahshar Se
Yahaan Par Mil Gaya Jis Ko Waseela Ghaus-e-Azam Ka
Ye Sunte Hain Nakeerain Us Pe Kuch Sakhti Nahin Karte
Likha Hota Hai Jis Ke Dil Pe Tughra Ghaus-e-Azam Ka
Azeezo Kar Chuko Tayyaar Jab Mere Janaazay Ko
To Likh Dena Kafan Par Naam-Waala Ghaus-e-Azam Ka
Lahad Mein Jab Farishtay Mujh Se Poochenge To Keh Dunga
Tariqa Qaadiri Hoon Naam Lewa Ghaus-e-Azam Ka
Nida Dega Munaadi Hashr Mein Yun Qaadiriyoñ Ko
Kidhar Hain Qaadiri Kar Lein Nazaara Ghaus-e-Azam Ka
Chala Jaaye Bila-Khauf-o-Khatar Firdaus-e-A’la Mein
Faqat Ek Shart Hai Ho Naam Lewa Ghaus-e-Azam Ka
Farishtoñ Rokte Kyun Ho Mujhe Jannat Mein Jaane Se
Ye Dekho Haath Mein Daaman Hai Kis Ka Ghaus-e-Azam Ka
Janaab-e-Ghaus Doolha Aur Baraati Awliya Honge
Maza Dikhlaayega Mahshar Mein Sehra Ghaus-e-Azam Ka
Ye Kaisi Roshni Phaili Hai Maidaan-e-Qiyaamat Mein
Niqaab Utha Huwa Hai Aaj Kis Ka Ghaus-e-Azam Ka
Ye Mahshar Mein Khule Hain Gaisoo-e-Ambar-Fishaan Kis Ke
Barasta Hai Karam Ka Kis Ke Jhaala Ghaus-e-Azam Ka
Ye Qaidi Chhoot Rahe Hain Is Liye Maidaan-e-Mahshar Mein
Khuda Khud Baant-ta Hai Aaj Sadqa Ghaus-e-Azam Ka
Guzaari Khel Mein Kal, Ab Huwi A’amaal Ki Pursish
Magar Kaam Aa Gaya Us Dam Waseela Ghaus-e-Azam Ka
Kabhi Qadmoñ Pe Lautunga, Kabhi Daaman Pe Machlunga
Bata Dunga Ke Yun Chhootta Hai Banda Ghaus-e-Azam Ka
Thikaana Us Ke Neeche Ya Khuda Mil Jaaye Hum Ko Bhi
Khara Ho Hashr Mein Jis Waqt Jhanda Ghaus-e-Azam Ka
Khudawanda Dua Maqbool Kar Hum Roo-Siyaahoñ Ki
Gunaahoñ Ko Hamaare Bakhsh Sadqa Ghaus-e-Azam Ka
Meri Phooti Huwi Taqdeer Ki Qismat Chamak Jaaye
Banaaye Mujh Ko Sag Apna Jo Kutta Ghaus-e-Azam Ka
Lahad Mein Bhi Khuli Hain Is Liye Ushshaaq Ki Aankhein
Ke Ho Jaaye Yahin Shayad Nazaara Ghaus-e-Azam Ka
Sada-e-Soor Sun Kar Qabr Se Uthte Hi Poochunga
Ke Batlaawo Kidhar Hai Aastaana Ghaus-e-Azam Ka
Kuch Ek Hum Hi Nahin Hain Aastaan-e-Paak Ke Kutte
Zamaana Pal Raha Hai Kha Ke Tukra Ghaus-e-Azam Ka
Nabi Noor-e-Ilaahi Aur Ye Noor-e-Mustafaai Hain
To Phir Noori Na Ho Kyun Kar Gharaana Ghaus-e-Azam Ka
Nabi Ke Noor Ko Gar Dekhna Chaahe Inhein Dekhe
Sarapa Noor-e-Ahmad Hai Sarapa Ghaus-e-Azam Ka
Rasoolullah Ka Dushman Hai Ghaus-e-Paak Ka Dushman
Rasoolullah Ka Pyaara Hai Pyaara Ghaus-e-Azam Ka
Mukhaalif Kya Kare Mera Ke Hai Be-Had Karam Mujh Par
Khuda Ka, Rahmatulil-Aalameen Ka, Ghaus-e-Azam Ka
JAMEEL-E-QAADIRI Sau Jaan Se Ho Qurbaan Murshid Par
Banaaya Jis Ne Tujh Jaise Ko Banda Ghaus-e-Azam Ka