Karun Kya Haal-e-Dil Izhaar Ya Ghaus
Ke Tum Ho ‘Aalim-ul-Asraar Ya Ghaus
Nikaalo Bahr-e-Gham Se Meri Kashti
Hai Haa-il Beech Meiñ Manjhdhaar Ya Ghaus
Siwa Tere Kahuñ Kis Se Gham Apna
Nahiñ Mera Ko-ee Gham Khwaar Ya Ghaus
Madad Ka Waqt Hai Imdaad Kijiye
Meri Haalat Huwi Hai Zaar Ya Ghaus
Dil-e-Taareek Par Farma De Saiqal
Mera Seena Ho Pur Anwaar Ya Ghaus
‘Ata Kar Sehat-e-Kaamil Isay Bhi
Ye Banda Hai Tera Bimaar Ya Ghaus
Bula Baghdad Meiñ Lil’laah Aaqa
Dikha Apna Mujhe Darbaar Ya Ghaus
Ishaare Se Teri Rahmat Ke Ban Jaaye
Ye Ujr’a Ban Mera Gulzaar Ya Ghaus
Meri Aankhoñ Ko Mere Dil Ke Andar
Nazar Aayeñ Tere Anwaar Ya Ghaus
Na Ghabra-uñ Shab-e-Taar-e-Lahad Se
Nazar Aayeñ Tere Anwaar Ya Ghaus
Khule Jab Khwaab-e-Marqad Se Meri Aankh
Mujhe Ho Aap Ka Deedaar Ya Ghaus
Tumhaare Roo-e-Roshan Ko Kahuñ Kya
Qamar Ya Matla’-e-Anwaar Ya Ghaus
Rah-e-Mausil Huwi Ek Aan Meiñ Tai
Karaamat Aap Ki Raftaar Ya Ghaus
Madad Farmaaiye Ya Ghaus-e-Azam
Mera Ko-ee Nahiñ Hai Yaar Ya Ghaus
Madad Ka Waqt Hai Sarkaar Aawo
Kiya Gham Ne Mujhe Laa-Chaar Ya Ghaus
Nikaala Sekr’oñ Doobe Huwe Ko
Mere Ber’ay Ko Kar Do Paar Ya Ghaus
Bar’ha Kar Haath Ek Tukr’a Utha Do
Ke Ye Banda Bhi Hai Haqdaar Ya Ghaus
Aghithni Ya Habeebi Ghaus ul Azam
Huwa Hai Gham Galay Ka Haar Ya Ghaus
Kahaañ Tak Maiñ Phiruñ Be-Kaar Shaaha
Mujhe Kar Dijiye Baa-Kaar Ya Ghaus
Par’a Sota Hai Mera Bakht-e-Khufta
Zara Kar Dijiye Be-Daar Ya Ghaus
Ma-e-‘Irfaañ Ka Ek Saaghar Pila Kar
Mujhe Kar Dijiye Hoshiyaar Ya Ghaus
Khudi Aisi Mita Dil Se Ke Mil Jaayeñ
Khuda Awr Ahmad-e-Mukhtaar Ya Ghaus
Mujhe Aisi ‘Ata Kar Yaad Apni
Na Bhooluñ Maiñ Tujhe Zinhaar Ya Ghaus
Fana Kar Yuñ Ke Maiñ Sotay Meiñ Dekhuñ
Tera Darbaar Pur Anwaar Ya Ghaus
Taman’na Bulbul-e-Shaida Ki Ye Hai
Milay Baghdad Ka Gulzaar Ya Ghaus
Mujhe Dunya Meiñ Jannat Ho Jo Mil Jaaye
Tumhaara Saaya-e-Deewaar Ya Ghaus
Kahaañ Jaa Kar Kare Aankhoñ Ko Roshan
Tumhaara Taalib-e-Deedaar Ya Ghaus
Huñ Maiñ Bhi Qaadiri Ya ‘Abd Al Qaadir
Na Huñ Dono Jahaañ Meiñ Khwaar Ya Ghaus
Rahe Sar Sabz Mera Ghuncha-e-Dil
Chub’he Ko-ee Na Gham Ka Khaar Ya Ghaus
Par’heñ Tasbeeh Tere Naam Ki Ham
Rahe Jab Tak Nafs Ka Taar Ya Ghaus
Rahuñ Har Waqt Sar-Garm-e-Itaa’at
Mujhe Aisa Bana Deeñdaar Ya Ghaus
Tere Ek Qatra-e-Rahmat Se Dhul Jaaye
Gunahoñ Ke Mere Toomaar Ya Ghaus
Pakar’na Haath Mera Dastgeera
‘Uboor-e-Pul Na Ho Dushwaar Ya Ghaus
Karo Sau Martaba Us Ki Madad Tum
Pukaare Jo Tumheñ Ek Baar Ya Ghaus
Kahe Jaawo ‘Mureedi Laa Takhaf’ Tum
Pukaare Jaawuñ Maiñ Har Baar ‘Ya Ghaus’
Zahe Qismat Qiyaamat Tak Rahega
Mureedoñ Par Tumhaara Pyaar Ya Ghaus
Tamaami Awliya Ke Taa Qiyaamat
Tumheeñ Ho Qaafila Saalaar Ya Ghaus
Kareñge Roz-e-Mahshar Ham Pe Saaya
Tumhaare Gaisoo-e-Khamdaar Ya Ghaus
Sifaarish Kijiye Mahshar Meiñ Meri
Ke Mujh Ko Bakhsh De Ghaffaar Ya Ghaus
Musalmaañ Kijiye Aisa Khudara
Ke Toot’e Nafs Ka Zun’naar Ya Ghaus
Atib’ba Kar Sakeñ Jis Ka Na Chaarah
Tu Kho Deta Hai Wo Aazaar Ya Ghaus
Mareezoñ Ke Liye Daarush Shifa Hai
Tera Darbaar-e-Pur Anwaar Ya Ghaus
Haiñ Milti Na Muraadoñ Ko Muraadeñ
Tera Darbaar Hai Dur-Baar Ya Ghaus
Salaateen-e-Zamaana Kyuñ Na Maangeñ
Tera Darbaar Hai Dur-Baar Ya Ghaus
Aghithni Keh Ke Jo Maanga Wo Paaya
Tera Darbaar Hai Dur-Baar Ya Ghaus
Rasoolullah Ka Tu Laad’la Hai
‘Ali Karte Haiñ Tujh Ko Pyaar Ya Ghaus
Qadam Tera Hai Daush-e-Awliya Par
Tujhe Haq Ne Kiya Sardaar Ya Ghaus
Nabi Ke Mu’jazoñ Ka Tu Hai Mazhar
Bataate Haiñ Tere Aasaar Ya Ghaus
Rasoolullah Ne Seene Meiñ Tere
Bharay Haiñ Ghaib Ke Asraar Ya Ghaus
‘Uloom-e-Mustafa-o-Murtaza Ke
Tumheeñ Par Haiñ Khulay Asraar Ya Ghaus
Laqab Hai Majma’-ul-Bahrain Tera
Haiñ Jaari Tujh Se Sab Anhaar Ya Ghaus
‘Iraq-o-Ajmer-o-Marahrah-o-Bareilly
Nahiñ Kis Jaa Tere Anwaar Ya Ghaus
Dil-e-Maghmum Se Meri Ba-Sad Aah
Nikalti Hai Sada Har Baar Ya Ghaus
Hai Meri Taak Meiñ Shaitaan-e-Mardood
Madad Teri Rahe Tay’yaar Ya Ghaus
Tumhaare Dushmanoñ Ke Kaat’ne Ko
Zabaañ Meri Banay Talwaar Ya Ghaus
Khuda Ka Khaas Banda Ban Gaya Wo
Kiya Jis Ne Tera Iqraar Ya Ghaus
Khuda Bhi Ho Gaya Naaraaz Us Se
Tu Jis Se Ho Gaya Be-Zaar Ya Ghaus
Bila Shak Ho Gaya Maq’hoor-e-Aizad
Kiya Jis Ne Tera Inkaar Ya Ghaus
Huwi Zil’lat Usay Dono Jahaañ Meiñ
Par’i Jis Par Teri Phatkaar Ya Ghaus
Do Baara Deen Ko Ab Zinda Kijiye
Huwi Hai Yoorish-e-Kuffaar Ya Ghaus
Rahe Mangta Hamesha Shaad-o-Aabaad
Awr A’da-e-La’eeñ Fin-Naar Ya Ghaus
JAMEEL-E-QAADIRI Ki Laaj Rakhna
Huzoor-e-Waahid-e-Qah’haar Ya Ghaus