Karte Hain Jinn o Bashar Har Waqt Charcha Ghaus Ka

Karte Hain Jinn-o-Bashar Har Waqt Charcha Ghaus Ka
Baj Raha Hai Chaar Soo ‘Aalam Mein Danka Ghaus Ka

Naar-e-Dozakh Se Bachayega Sahaara Ghaus Ka
Le Chalega Khuld Mein Adna Ishaara Ghaus Ka

Naz’a Mein Marqad Mein Mahshar Mein Madad Farmaayenge
Ho Chuka Hai Ahd Pehle Hi Hamaara Ghaus Ka

Khaaliq-e-Kaun-o-Makaan Ne Pehle Hi Roz-e-Azal
Likh Diya Hai Meri Peshaani Pe Banda Ghaus Ka

Kya Ajab Be-Poochhe Mujh Ko Chhor Deñ Munkar Nakeer
Dekh Kar Mere Kafan Par Naam Likha Ghaus Ka

Naz’a Mein Marqad Mein Mahshar Mein Kaheen Bhi Ya Khuda
Haath Se Chhoote Na Daaman-e-Mu’alla Ghaus Ka

Haan Zara Thehro Farishto Phir Jo Chaaho Poochna
Kar To Lene Do Mujhe Pehle Nazaara Ghaus Ka

Sab Khas-o-Khaashaak-e-Isyaan Aan Mein Beh Jaayega
Josh Par Aa Jaayega Jis Waqt Darya Ghaus Ka

Jholiyaan Phailaawo, Daudo, Bheek Lo, Daaman Bharo
Bat Raha Hai Aastaan Par Aam Baara Ghaus Ka

Aankhein Malne Ke Liye Haath Aayi Chaukhat Ghaus Ki
Sar Ragarne Ke Liye Mil Jaaye Rauza Ghaus Ka

Sajda-Gaah-e-Jinn-o-Insaan Aap Ka Naqsh-e-Qadam
Taaj-Waaloñ Ke Liye Hai Taaj Talwa Ghaus Ka

Roshni-e-Sham’a Se Kya Kaam Andhi Aankh Ko
Mominoñ Ke Chashm-e-Dil Mein Hai Ujaala Ghaus Ka

Saltanat Shaah-e-Madina Ne Ata Farmaayi Hai
Raaij Iqleem-e-Wilaayat Mein Hai Sikka Ghaus Ka

Jalte Hain Dushman Khuda Ke Un Ke Zikr-o-Fikr Se
Wird Sab Allah-Waale Karte Hain Ya Ghaus Ka

Kar Rahe Hain Ashqiya Koshish Ghataane Ki Magar
Roz-Afzoon Ho Raha Hai Bol-Baala Ghaus Ka

Naqsha-e-Shaah-e-Madina Saaf Aata Hai Nazar
Jab Tasawwur Mein Jamaate Hain Sarapa Ghaus Ka

Sadqe Is Banda-Nawaazi Ke Fida Is Deen Ke
Hum Se Kutte Pal Rahe Hain Kha Ke Tukra Ghaus Ka

Hashr Mein Utha Hua Hai Roo-e-Anwar Se Niqaab
Aashiqoñ Dil Khol Kar Kar Lo Nazaara Ghaus Ka

Umr Bhar Rakhna JAMEEL-E-QAADIRI Wird-e-Zubaan
Naam Haq Ka, Aur Habeeb-e-Kibriya Ka, Ghaus Ka

Ghaus Ko Kyun Kar Na Aaye Pyaar Tum Par Ay JAMEEL
Hai Raza Murshid Tumhaara Jab Ke Pyaara Ghaus Ka

Share Now