Jalwa-e-shaan-e-risalat Ghaus-e-azam Aap Hain
Zeenat-e-baagh-e-wilayat Ghaus-e-azam Aap Hain
Aap Ki Zaat Saraapa Rehmat-e-rabb-ul-ula
Khalq Par Saaya-e-rehmat Ghaus-e-azam Aap Hain
Kashf Mein Dooba Hua Har Ek Amal, Har Ek Nazar
Raaz-e-ghaib-e-zaat-e-wahdat Ghaus-e-azam Aap Hain
Bahr Mein Doobi Hui Kashti Ne Paai Thi Nijaat
Malja-e-ahle Zaroorat Ghaus-e-azam Aap Hain
Dil Ke Pardon Par Ayaan Hote Rahe Asraar-e-haq
Aayat-e-shaan-e-wilayat Ghaus-e-azam Aap Hain
Aap Ki Taaseer Se Sang-dil Bhi Ban Jaate Hain MoM
Chashma-e-lutf-o-inayat Ghaus-e-azam Aap Hain
Chor Ki Niyyat Badal Daali Nigaah-e-lutf Se
Baais-e-islaah-e-fitrat Ghaus-e-azam Aap Hain
Aap Ke Kirdaar Se Zinda Hai Millat Aaj Bhi
Yaani Rooh-o-jaan-e-millat Ghaus-e-azam Aap Hain
Jab Sataaye Gham Ke Baadal, Hausle Jab Toot Jaaye
Us Ghadi Hum Sab Ki Taaqat Ghaus-e-azam Aap Hain
Deen Ke Ujre Chaman Ki Hain Bahaaren Aap Se
Naubahaar-e-deen-o-millat Ghaus-e-azam Aap Hain
Hai Yakum Ramzan Ka Din Jashn-e-ahle Ma’rifat
Kis Ka Hai Yaum-e-wiladat? Ghaus-e-azam Aap Hain
Jab Tadap Uthti Hai Millat Iztiraab-o-dard Mein
Baais-e-taskeen-o-raahat Ghaus-e-azam Aap Hain
Faiz Paata Hai Zamaana Aap Ke Darbaar Se
Saalik-e-haq Ki Zaroorat Ghaus-e-azam Aap Hain
Aap Ki Haibat Se Baatil Kaanp Uthta Hai Sada
Aayat-e-haq Ki Shahaadat Ghaus-e-azam Aap Hain
Ilm-o-hikmat, Deen Ki Khidmat Aap Ka Roshan Shiaar
Aamil-e-raah-e-azeemat Ghaus-e-azam Aap Hain
Kijiye Ayyub Ko Apne Mureedon Mein Qubool
Khalq Ke Sheikh-e-tariqat Ghaus-e-azam Aap Hain