Jaan o Dil Se Tum Pe Meri Jaan Qurbaan Ghaus e Paak

Jaan-o-Dil Se Tum Pe Meri Jaan Qurbaañ Ghaus-e-Paak
Hai Salaamat Tum Se Mera Deen-o-Imaañ Ghaus-e-Paak

Maiñ Tera Adna Bhikaari Tu Mera Sultaan Hai
Hai Qasam Haq Ki Ye Mera Deen-o-Imaañ Ghaus-e-Paak

Maiñ Tera Mamlook, Tu Maalik, Maiñ Banda, Tu Hai Shaah
Tu Sulaimaañ Awr Maiñ Mawr-e-Sulaimaañ Ghaus-e-Paak

Sajdah-gaah-e-Awliya-e-Dahr Hai Naqsh-e-Qadam
Awr Teri Na’al-e-Muqad’das Taaj-e-Shaahaañ Ghaus-e-Paak

Awliya Haiñ Sab Salaateeñ Ham Ri’aaya-o-Ghulaam
Awliya Sab Haiñ Ra’iyyat Awr Sultaañ Ghaus-e-Paak

Haath Khaali Roo-Siya Aasi Ye Sab Kuch Huñ Magar
Naam Hai Tera Mere Seene Meiñ Pinhaañ Ghaus-e-Paak

Aap Ki Chashm-e-Karam Ka Ek Ishaara Ho Agar
Do Jahaañ Ki Mushkileñ Ho Jaayeñ Aasaañ Ghaus-e-Paak

Naaz Qismat Par Karuñ Paawuñ Jahaañ Ki Sarwari
Teri Chawkhat Ka Agar Ban Jaawuñ Darbaañ Ghaus-e-Paak

Kab Bula-eñ Apne Dar Par Kab Rukh-e-Anwar Dikha-eñ
Kab Nikaaleñ Dekho Mere Dil Ka Armaañ Ghaus-e-Paak

Zindagi Meiñ Naz’a Meiñ Marqad Meiñ Hashr-o-Nashr Meiñ
Har Jagah Haiñ Apne Bandoñ Ke Nigahbaañ Ghaus-e-Paak

Aap Ka Naam-e-Muqad’das Mere Dil Par Naqsh Hai
Meri Bakhshish Ke Liye Kaafi Hai Saamaañ Ghaus-e-Paak

Ham Bhi ‘Isyaañ Le Ke Jaayenge Badalne Ke Liye
Hashr Meiñ Kholeñge Jab Rahmat Ki Dukkaañ Ghaus-e-Paak

Ko-ee Pooche Ya Na Pooche Baat Kuch Khatra Nahiñ
Hashr Meiñ Haiñ Ham Gunahgaaroñ Ka Pursaañ Ghaus-e-Paak

Meri Aankheñ Tera Gumbad, Teri Chawkhat Mera Sar
Mera Laasha Awr Ho Tera Biyaabaañ Ghaus-e-Paak

Pursish-e-A’maal Ka Hai Waqt Maula Al-Madad
Naam Lewa-oñ Ko Chupa Lo Zer-e-Daamaañ Ghaus-e-Paak

Bheja Tu Ne Hee Mu’eenud’deen Chishti Ko Yahaañ
Hind Meiñ Tere Sabab Se Haiñ Musalmaañ Ghaus-e-Paak

Tere Hote-Saate Aaye Yuñ Musalmaanoñ Meiñ Zo’af
Al-Madad Ya ‘Abd-e-Qaadir Shaah-e-Jilaañ Ghaus-e-Paak

Kaale-Kaale Kufr Ke Baadal Umand Kar Aaye Haiñ
Al-Madad Ya Qutb-e-‘Aalam Shaah-e-Jilaañ Ghaus-e-Paak

Lut’ Raha Hai Qaafila Baghdad Waale Le Khabar
Al-Madad Mahboob-e-Subhaañ Shaah-e-Jilaañ Ghaus-e-Paak

Zaalimoñ Ne Zulm Se Bandoñ Ko Kar Daala Halaak
Al-Madad Baghdad Waale Shaah-e-Jilaañ Ghaus-e-Paak

Hai Kidhar Aa Dekh Tu Bandoñ Ki Kya Haalat Huwi
Ay Mere Baghdad Waale Shaah-e-Jilaañ Ghaus-e-Paak

Laaj Waale Sunniyoñ Ki Laaj Tere Haath Hai
Qaadiri Manzil Ke Doolha Shaah-e-Jilaañ Ghaus-e-Paak

Ho Raza Par Lutf Tera, Ham Par Un Ka Lutf Ho
Un Ka Daamaañ Ham Pe, Un Par Tera Daamaañ Ghaus-e-Paak

Kijiye Imdaad ‘Izzat Do Jahaañ Ki Dijiye
Hai JAMEEL-E-QAADIRI Adna Sana Khwaañ Ghaus-e-Paak

Share Now