Hai Dil Ko Teri Justuju Ghaus-e-Azam
Zubaañ Par Teri Guftagu Ghaus-e-Azam
Tera Zikr Gulshan Meiñ Bulbul Ke Lab Par
Guloñ Meiñ Tera Rang-o-Boo Ghaus-e-Azam
Nazar Meiñ Ko-ee Khoob-Roo Kya Sama-e
Basa Meri Aankhoñ Meiñ Tu Ghaus-e-Azam
Haiñ Sooraj Agar Mustafa Chaand Hai Tu
Haiñ Jalwe Tere Chaar Soo Ghaus-e-Azam
Laga Zakhm Teygh-e-Ma’aasi Ka Dil Par
Tu Rahmat Se Kar De Rafoo Ghaus-e-Azam
Madad Kar Maiñ Huñ Naatawaañ Awr Tanha
Haiñ A’da Bahut Jang-Joo Ghaus-e-Azam
Qawi Kar Qawi Mujh Ko De Aisi Quw’wat
Ke Ho Sarniguñ Har ‘Adu Ghaus-e-Azam
‘Amal Pooche Jaate Haiñ Mujh Se Lahad Meiñ
Tere Haath Hai Aabru Ghaus-e-Azam
Tufail-e-Husain-o-Hasan Laaj Rakh Le
Tere Haath Hai Aabroo Ghaus-e-Azam
Hisaab-o-Kitaab Awr Mera Haath Khaali
Tu Aa Jaa Mere Roo-Ba-Roo Ghaus-e-Azam
Na Mujh Sa Ko-ee Teerah Dil Pur Ma’aasi
Na Tujh Sa Ko-ee Maah-Roo Ghaus-e-Azam
Nakeerain Ab Mujh Se Jo Chaaho Poocho
Ke Aaye Mere Roo-Ba-Roo Ghaus-e-Azam
Khuda Jaane Kya Haal Hota Hamaara
Na Hota Agar Sar Pe Tu Ghaus-e-Azam
Bacha Le Ghulaamoñ Ko Bahr-e-Payambar
Chali Kufr-o-Bid’at Ki Loo Ghaus-e-Azam
Khuda Ki Qasam Mere Dil Meiñ Bhari Hai
Tere Deed Ki Aarzoo Ghaus-e-Azam
Mileñ Ab To Baghdad Ki Mujh Ko Galiyaañ
Maiñ Kab Tak Phiruñ Koo-Ba-Koo Ghaus-e-Azam
JAMEEL Apne Murshid Ke Qurbaan Jaawuñ
Ke Wo Gul Haiñ Awr Un Meiñ Boo Ghaus-e-Azam