Gul-e-Bostaan-e-Nabi Ghaus-e-Azam
Mah-e-Aasman-e-‘Ali Ghaus-e-Azam
Jisay Chaahe Kar De ‘Ata Sar Bulandi
Mili Hai Tujhe Khusrawi Ghaus-e-Azam
Wali Ho Gaya Wo Ishaare Se Tere
Sada Jis Ne Ki Rahzani Ghaus-e-Azam
Bar’ha Haath Teri Taraf Muflisoñ Ka
Nazar Teri Jaanib Ut’hi Ghaus-e-Azam
Wali Ban Gaye Dam Meiñ Fus’saq-o-Rahzan
Nazar Teri Jab Par’ Gayi Ghaus-e-Azam
Wali Qutb-o-Abdaal-o-Awtaad-o-Kaamil
Kareñ Tujh Se Kya Hamsari Ghaus-e-Azam
Tu Wo Gul Hai Baagh-e-Husain-o-Hasan Ka
Ke Boo Teri Sab Meiñ Basi Ghaus-e-Azam
Qadam Kyuñ Na Leñ Awliya Chashm-o-Sar Par
Ke Haiñ Waali-e-Har Wali Ghaus-e-Azam
Tu Hai Shaykh-e-Kul Awr Sab Tere Chelay
Tere Zer-e-Pa Har Wali Ghaus-e-Azam
Khuda Tak Na Kyuñ Kar Ho Us Ki Rasa-i
Kare Jis Ki Tu Rahbari Ghaus-e-Azam
Wilaayat Ka Hai Mulk Zer-e-Hukoomat
Mili Tujh Ko Shaahanshahi Ghaus-e-Azam
Wilaayat Karaamat Ko Hai Naaz Jin Par
Wo Tujh Se Huwe Multaji Ghaus-e-Azam
Milay Haiñ Tere Jad’d-e-Amjad Se Tujh Ko
‘Uloom-e-Khafi-o-Jali Ghaus-e-Azam
Tumheñ Sab Hai Ma’loom Tum Par Hai Roshan
Huwi Hai Jo Haalat Meri Ghaus-e-Azam
Hazaaroñ Alam Sar Pe Awr Maiñ Akela
Meri Dekh Lo Be Basi Ghaus-e-Azam
Hai Bigr’i Huwi Aaj Kal Meri Qismat
Tu Chaahe To Sambhlay Abhi Ghaus-e-Azam
Badal De Tu Ach’che Se Ach’che Ka Sadqa
Jo Hai Mujh Meiñ Khaslat Buri Ghaus-e-Azam
Ishaare Se Teri Nigaah-e-Karam Ke
Hazaaroñ Ki Bigr’i Bani Ghaus-e-Azam
Meri Jholiyaañ Bhi Muraadoñ Se Bhar De
Sakhi Hai Tu Ibn-e-Sakhi Ghaus-e-Azam
Phiray Dar Badar Kyuñ Bhikaari Bhatakta
Tere Ghar Meiñ Hai Kya Kami Ghaus-e-Azam
Tu Khoon-e-Shaheedaañ Ke Sadqe Meiñ Dho De
Huwi Mujh Se Jo Kuch Badi Ghaus-e-Azam
Laga De Sahara Madad Kar Khudara
Talaatum Meiñ Kashti Phañsi Ghaus-e-Azam
Ho Sar Sabz Shadaab Baagh-e-Taman’na
Rahe Shaakh Dil Ki Hari Ghaus-e-Azam
Tufail-e-Payambar Yahi Mud’da’a Hai
Ke Ho Sarniguñ Mud’da’i Ghaus-e-Azam
Agar Teri Imdaad Aaye Madad Ko
Muqad’dar Ki Nikle Kaji Ghaus-e-Azam
Tere Zikr Meiñ ‘Aish-o-‘Izzat Se Guzre
Jo Baaqi Hai Kuch Zindagi Ghaus-e-Azam
Khuda Ke Liye Aisa Be-Khud Bana De
Ke Mit’ Jaaye Saari Khudi Ghaus-e-Azam
Mere Maula Aa Jaawo Dil Meiñ Ke Nikle
Jo Hai Dil Meiñ Hasrat Bhari Ghaus-e-Azam
Maiñ Samjhooñ Ke Ab Jaan Meiñ Jaan Aayi
Jo Aa-eñ Dam-e-Jaañ-Kanee Ghaus-e-Azam
Hoñ Imaan Ke Saath Dunya Se Rukhsat
Yahi ‘Arz Hai Aakhri Ghaus-e-Azam
Suna ‘Laa Takhaf’ Tera Farmaan-e-‘Aali
Ghulaamoñ Ki Dhaaras Bandhi Ghaus-e-Azam
Qiyaamat Ke Din Honge Teri Ba-Daulat
Tere Naam Lewa Bari Ghaus-e-Azam
Siyakaar Ki Qabr Meiñ Hai Andhera
Tu Aa Jaa Ke Ho Chaandni Ghaus-e-Azam
Zara Khol De Apna Noorani Chehra
Ke Mit’ Jaaye Sab Teergi Ghaus-e-Azam
Agar Behr-e-Imdaad Dil Se Pukaareñ
Hoñ Tashreef Farma Abhi Ghaus-e-Azam
Jo Lar’ki Thee Qabze Meiñ Deo-e-La’eeñ Ke
Tere Naam Se Wo Bachi Ghaus-e-Azam
Saba Dast Basta Salaam ‘Arz Karna
Jo Mil Jaayeñ Tujh Ko Kabhi Ghaus-e-Azam
JAMEEL Apni Jholi Ko Phayla Bharenge
Ke Daata Haiñ Tere Sakhi Ghaus-e-Azam