Gause Aazam Saamne Aa Jaiye

Ghause Azam Samne Aajaiye… Aaiye
Be-Sukooni Ki Dawa Farmaiye… Aaiye

Ghause Azam Ko Bana Kar Apna Peer… Dastgeer
La-takhaf Ki Chhaoñ Me So Jaiye… Aaiye

De Raha Hai Ik Sada Munkar-Nakeer… Daaro Geer
Aashiqan e Ghaus Mat Ghabraiye… Aaiye

Shah Banne Ka Agar Arman Hai… Dhyan Hai
Ghause Azam Ke Gada Ban Jaiye… Aaiye

Jodkar Rishta Muhiyudeeñ Ke Saath… Pee Ke Saath
Saath Bakhshish Ki Sanad Bhi Paiye… Aaiye

Ek Dar Unka Mila To Sab Mila… Rab Mila
Dar-badar Ki Thokreñ Kyuñ Khaiye… Aaiye

Qadri Ban Ne Ka Matlab Hai Yahi… Hañ Yahi
Naam Apna Khuld Me Likhwaiye.. Aaiye

Qadri Maikhana Har Dam Hai Khula… Barmala
Peejiye Auroñ Ko Bhi Pilwaiye… Aaiye

Mil Gaya Hai Ghaus Ka Khane Karam… Kya Hai Gham
Unke Tukde Unka Sadqa Khaiye… Aaiye

Ae Jamaali Ghause Azam Haiñ To Bas… Pesh o Pas
Sarkashan e Waqt Ko Batlaiye… Aaiye

Share Now