Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Tazmin

Kaun Hai Jo Ye Iltija Na Kare
Kaun Unke Liye Maraa Na Kare
Kaun Ro Ro Ke Ye Dua Na Kare

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare
Bekasi Loot Le Khuda Na Kare

Ishq Ka Sar Pe Daal Kar Ke Ghilaaf
Baat Ahl-e-Khirad Ye Sun Le Saaf
Kaam Hai Kaun Sa Sha’ra Ke Khilaaf

Is Mein Roza Ka Sajda Ya Ke Tawaaf
Hosh Mein Jo Na Ho Woh Kya Na Kare

Raat Din Hum Gunaah Mein Doobe Hain
Jurm Jitne Hain Saare Karte Hain
Phir Bhi Aaqa Kareem ﷺ Aise Hain

Ke Wohi Hain Ke Bakhsh Dete Hain
Kon In Jurmon Par Saza Na Kare

Ishq Ne Kar Diya Mujhe Mashhoor
Un Ki Yaadon Se Zehan Hai Ma‘moor
Mujh Ko Is Baat Pe Hai Fakhr Zaroor

Dil Mein Roshan Hai Sham-e-Ishq-e-Huzoor
Kaash Josh-e-Hawas Hawa Na Kare

Zakhm Seene Ke Saare Seene Ko
Jo Yahan Mar Rahe The Jeene Ko
Ae Wasi Jaam-e-Ishq Peene Ko

Le Raza Sab Chale Madine Ko
Main Na Jaaun Are Khuda Na Kare

Read Original Kalam → Click Here

Share Now