Dil Dhadakta Hai Bas Wafa Ke Liye

Dil Dhadakta Hai Bas Wafa Ke Liye
Saans Chalti Hai Mustafa Ke Liye

Main Tadapta Hoon Soch Kar Aaqa
Aap Roye The Mujh Gada Ke Liye

Khaak Le Aao Koi Taiba Ki
Mujh Se Beemar Ki Dawa Ke Liye

Aankh Roti Hai Yaad-e-Taiba Mein
Haath Uthte Hain Jab Dua Ke Liye

Hum Ghareebon Ka Aish To Dekho
Khud Sakhi Aata Hai Ata Ke Liye

Jab Suna Wo Lahad Mein Aayenge
Dil Machalne Laga Qaza Ke Liye

Ki Hai Taqleed Humne Hassan Ki
Naat-e-Sarkar Ki Ada Ke Liye

Khud Ba Khud Naat Hoti Jaati Hai
Hamd Kehta Hoon Jab Khuda Ke Liye

Ma Siwa Unki Paak Midhat Ke
Kaam Hi Kya Hai Is Gada Ke Liye

Main Rifai Hoon Jaan Lo Logo
Naat Likhta Hoon Mustafa Ke Liye

دل دھڑکتا ہے بس وفا کے لیے
سانس چلتی ہے مصطفی کے لیے

میں تڑپتا ہوں سوچ کر آقا
آپ روئے تھے مجھ گدا کے لیے

خاک لے آؤ کوئی طیبہ کی
مجھ سے بیمار کی دوا کے لیے

آنکھ روتی ہے یاد طیبہ میں
ہاتھ اٹھتے ہیں جب دعا کے لئے

ہم غریبوں کا عیش تو دیکھو
خود سخی آتا ہے عطا کے لئے

جب سنا وہ لحد میں آئیں گے
دل مچلنے لگا قضا کے لئے

کی ہے تقلید ہم نے حساں کی
نعت سرکار کی ادا کے لئے

خود بخود نعت ہوتی جاتی ہے
حمد کہتا ہوں جب خدا کے لئے

ما سوا ان کی پاک مدحت کے
کام ہی کیا ہے اس گدا کے لئے

میں رفاعی ہوں جان لو لوگو
نعت لکھتا ہوں مصطفی کے لئے

Share Now