Taiba Ki Simt Dekh Rahe Hain Kisi Tarah

Taiba Ki Simt Dekh Rahe Hain Kisi Tarah
Aankhon Mein Aake Ashk Bhare Hain Kisi Tarah

Yaad-e-Madina Aa Gayi Wehshat Zada Ke Ghar
Hum Aaj Apne Gham Se Pare Hain Kisi Tarah

Lehja, Libaas, Rang, Gharibi Se Kya Gharz
Hum Unki Naat Padh To Rahe Hain Kisi Tarah

Aahon Ke Saath Saath Hai Wird-e-Zaban Wo Naam
Khush Hain Ke Apne Zakhm Hare Hain Kisi Tarah

Aa Jaata Hai Hamara Bhi Naam Unki Bazm Mein
Achhe Nahi! Par Unke Bure Hain Kisi Tarah

Rizwan Kyun Rifai Ko Jannat Se Rokna
Ye Rehmat-e-Nabi Se Khare Hain Kisi Tarah

طیبہ کی سمت دیکھ رہے ہیں کسی طرح
آنکھوں میں آکے اشک بھرے ہیں کسی طرح

یاد مدینہ آگئ وحشت زدہ کے گھر
ہم آج اپنے غم سے پرے ہیں کسی طرح

لہجہ، لباس، رنگ، غریبی سے کیا غرض
ہم ان کی نعت پڑھ تو رہے ہیں کسی طرح

آہوں کے ساتھ ساتھ ہے ورد زباں وہ نام
خوش ہیں کہ اپنے زخم ہرے ہیں کسی طرح

آجاتا ہے ہمارا بھی نام ان کی بزم میں
اچھے نہیں ! پر ان کے بُرے ہیں کسی طرح

رضوان کیوں رفاعی کو جنت سے روکنا
یہ رحمتِ نبی سے کھرے ہیں کسی طرح

Share Now