Rutba Ye Wilayat Mein Kya Ghaus Ne Paaya Hai
Allah Ne Waliyon Ka Sardar Banaya Hai
Hai Dast-e-‘ali Sar Par, Hasnain Ka Saaya Hai
Mere Ghaus Ki Thokar Ne Murdon Ko Jilaya Hai
Al-madad, Piran-e-peer! Ghaus-ul-a’zam Dast-geer!

Laakhon Ne Usi Dar Se Taqdeer Bana Li Hai
Baghdadi Sanwariya Ki Har Baat Niraali Hai
Doobi Hui Kashti Bhi Dariya Se Nikaali Hai
Ye Naam Adab Se Lo, Ye Naam Jalaali Hai
Al-madad, Piran-e-peer! Ghaus-ul-a’zam Dast-geer!
Al-madad, Piran-e-peer! Ghaus-ul-a’zam Dast-geer!
Har Fikr Se TUM Ho Kar Aazaad Chale Jao
Le Kar Ke Labon Par TUM Fariyaad Chale Jao
Milna Hai Agar TUM Ko Waliyon Ke Shahensha Se
Khwaja Se Ijaazat Lo, Baghdad Chale Jao
Al-madad, Piran-e-peer! Ghaus-ul-a’zam Dast-geer!
Al-madad, Piran-e-peer! Ghaus-ul-a’zam Dast-geer!
Milne Ko Shama’ Se Ye Parwaana Tadapta Hai
Qismat Ke Andheron Mein Din-raat Bhatakta Hai
Is ‘ishq-e-haqeeqi Mein Itna To Asar Aaye
Jab Band Karun Aankhen, Baghdad Nazar Aaye
Al-madad, Piran-e-peer! Ghaus-ul-a’zam Dast-geer!
Al-madad, Piran-e-peer! Ghaus-ul-a’zam Dast-geer!
Andaaz-e-bayaan Un Ka Hum Kar Nahin Paayenge
Ajmer Se Ho Kar Hum Baghdad Ko Jaayenge
Jab Aaye Bala Hum Par, Hum Un Ko Bulaayenge
Tum Dil Se Sada To Do, Wo Haath Badhaayenge
Al-madad, Piran-e-peer! Ghaus-ul-a’zam Dast-geer!
Al-madad, Piran-e-peer! Ghaus-ul-a’zam Dast-geer!
Ya Ghaus! Karam Kar Do, Ya Ghaus! Karam Kar Do
Wo Deen Ki Daulat Se Daaman Ko Mere Bhar Do
Bas Itni Guzaarish Hai, Bas Ek Nazar Kar Do
Baghdad Ki Galiyon Mein Chhota Sa Mujhe Ghar Do