Aisa Tujhe Khaaliq Ne Tarh-Daar Banaaya
Yusuf Ko Tera Taalib e Deedaar Banaaya
Tal’at Se Zamaane Ko Pur-Anwaar Banaaya
Nikhat Se Gali Koochon Ko Gulzaar Banaaya
Deewaaron Ko Aaina Banaate Hain Wo Jalwe
Aa-inon Ko Jinn Jalwaoñ Ne Deewaar Banaaya
Wo Jins Kya Jis Ne Jisay Koyi Na Pooche
Us Ne Hee Mera Tujh Ko Khareedaar Banaaya
Ay Nazm e Risaalat Ke Chamakte Huwe Maqte
Tu Ne Hee Usay Matla e Anwaar Banaaya
Kaunain Banaaye Gaye Sarkaar Ki Khaatir
Kaunain Ki Khaatir, Tujhe Sarkaar Banaaya
Kunji Tumhen Di Apne Khazaanon Ki Khuda Ne
Mahboob Kiya Maalik o Mukhtar Banaaya
Allah Ki Rahmat Hai Ke Aise Ki Ye Qismat
Aasi Ka Tumhen Haami o Gham-Khwaar Banaaya
Aaina e Zaat e Ahadi Aap Hee Tehray
Wo Husn Diya Aisa, Tarh-Daar Banaaya
Anwaar e Tajal’li Se Kuch Hayraten Ch’haayeen
Sab Aa-inoñ Ko Pusht Ba-Deewaar Banaaya
Aalam Ke Salaateen Bhikaari Hai Bhikaari
Sarkaar Banaaya Hai, Tumhen Sarkaar Banaaya
Gulzaar Ko Aaina Kiya Munh Ki Chamak Ne
Aa-ina Ko Rukhsaar Ne Gulzaar Banaaya
Ye Laz’zat e Pa-Bos Ke Phat’tar Ne Jigar Mein
Naqsh e Qadam e Sayyid e Abraar Banaaya
Khud’daam To Bande Hain, Tere Khulq e Hasan Ne,
Pyaare! Tujhe Bad-Khwaah Ka Gham-Khwaar Banaaya
Be Parda Wo Jab Khaak Nasheenon Mein Nikal Aaye
Har Zar’ra Ko Khursheed e Pur-Anwaar Banaaya
Ay Maah e ‘Arab Mahr e ‘Ajam, Main Tere Sadqe
Zulmat Ne Mere Din Ko Shab e Taar Banaaya
Lillah Karam! Mere Bhi Weeraana e Dil Par
Sahra Ko Tere Husn Ne Gulzaar Banaaya
Allah Ta’aala Bhi Huwa Us Ka Tarafdaar
Sarkaar Tumhen, Jis Ne Tarafdaar Banaaya
Gulzaar e Jinaan Tere Liye Haq Ne Banaaya
Apne Liye Tera Gul e Rukhsaar Banaaya
Be Yaar o Madadgaar Jinhen Koyi Na Pooche
Aison Ka Tujhe Yaar o Madadgaar Banaaya
Har Baat Bad-A’maaliyon Se Main Ne Bigaari
Awr Tum Ne Meri Bigri Ko Har Baar Banaaya
Un Ke Dur e Dandaan Ka Wo Sadqa Tha Jis Ne
Har Qatra e Naisaan Dur e Shahwaar Banaaya
Us Jalwa e Rangeeñ Ka Tasad’duq Tha, Ke Jis Ne
Firdaus Ke Har Takhta Ko Gulzaar Banaaya
Us Rooh e Mujas’sam Ke Tabar’ruk Ne Maseeha
Jaan Bakhsh Tumhen Yun Dam e Guftaar Banaaya
Us Chehra e Pur-Noor Ki Wo Bheek Thee Jis Ne
Mahr o Mah o Anjum Ko Pur Anwaar Banaaya
Un Haathon Ka Jalwa Tha Ye, Ay Hazrat e Moosa!
Jis Ne Yad e Baiza Ko Ziya-Baar Banaaya
Un Ke Lab e Rangeen Ke Nichaawar Thee Wo Jis Ne
Patthar Mein Hasan, La’al e Pur Anwaar Banaaya