Aaya Hai Ye Tera Deewana, Shaian-lillah Shaian-lillah
Kehta Hai Ye Har-dam Mastana, Shaian-lillah Shaian-lillah
Tu Peer Mera La-sani Hai Aur Ghaus Mera Jeelani Hai
Main Tera Mureed Hoon Deewana, Shaian-lillah Shaian-lillah
Hai Hukm Tera Hukm-e-rabbi, Ik Dam Mein Jo Chahe Kar De Wahi
Ye Daur Hai Tera Shahana, Shaian-lillah Shaian-lillah
Main Bad Hi Sahi, Main Chor Sahi, Main Mujrim-o-khati Kuch Hi Sahi
Par Tera Hoon, Jaan-e-jaanana! Shaian-lillah Shaian-lillah
Chahoon Jo Agar Tujh Ko Chahoon, Dekhoon Jo Agar Tujh Ko Dekhoon
Kar De Mujhe Sab Se Begana, Shaian-lillah Shaian-lillah
Choote Na Kabhi Tu Aur Ahmad, Mushkil Jo Pade Ho Teri Madad
Gar Waqt-e-naza’ Ho Aa Jana, Shaian-lillah Shaian-lillah
Lete Rahein Hum Sab Naam Tera, Karte Rahein Mil Kar Kaam Tera
Baghdad Se Ho Aab-o-dana, Shaian-lillah Shaian-lillah
Sab Tere Mazar-e-anwar Par, Hote Hain Nichhawar Aa Aa Kar
Tu Sham’a Hai ‘aalam Parwana, Shaian-lillah Shaian-lillah
Khushtar Ko Bulaya Rauze Par, Ummeed Se Di Ne’mat Badh Kar
Ho Lutf-o-karam Ye Saalana, Shaian-lillah Shaian-lillah