Aasmaan Gar Tere Talwon Ka Nazaara Karta

Aasmaan Gar Tere Talwon Ka Nazaara Karta

Aasmaañ Gar Tere Talwoñ Ka Nazaara Karta
Roz Ik Chaand Tasad’duq Meiñ Utaara Karta

Tauf e Rauza Hee Pe Chakraaye Thay Kuch Na-Waaqif
Meiñ To Aapay Meiñ Na Tha Awr Jo Sajdah Karta

Sarsar e Dasht e Madina Jo Karam Farmaati
Kyuñ Meiñ Afsurdagi e Bakht Ka Parwa Karta

Ch’hup Gaya Chaand Na Aayi Tere Deedaar Ki Taab
Awr Agar Saamne Rehta Bhi To Sajdah Karta

Ye Wohi Haiñ Ke Giro Aap Awr Un Par Machlo
Ult’i Baatoñ Pe Kaho, Kaun Na Seedha Karta

Ham Se Zar’roñ Ki To Taqdeer Hee Chamka Jaata
Mahr Farma Ke Wo Jis Raah Se Nikla Karta

‘Dhoom Zar’roñ Meiñ ‘Anash Shams’ Ki Par’ Jaati Hai
Jis Taraf Se Hai Guzar Chaand Hamaara Karta

Aah! Kya Khoob Tha Gar Haazir e Dar Hota Maiñ
Un Ke Saaye Ke Talay Chain Se Soya Karta

Shauq o Aadaab Baham Garm e Kashakash Rehte
‘Ishq e Gum Kardah Tuwaañ ‘Aql Se Uljha Karta

Aankh Uth’ti To Maiñ Jhunjlaa Ke Palak See Leta
Dil Bigar’ta To Maiñ Ghabra Ke Sambhala Karta

Be-Khudaana Kabhi Sajdah Maiñ Soo e Dar Girta
Jaanib e Qibla Kabhi Chonk Ke Palt’a Karta

Baam Tak Dil Ko Kabhi Baal e Kabootar Deta
Khaak Par Gir Ke Kabhi, Haaye! Khudaaya Karta

Gaahe Marham Nahi Zakhm e Jigar Meiñ Rehta
Gaahe Nashtar Zani Khoon e Taman’na Karta

Hamrah e Mahr Kabhi Gird e Khateerah Phirta
Saaya Ke Saath Kabhi Khaak Pe Laut’a Karta

Sohbat e Daagh e Jigar Se Kabhi Jhee Behlaata
Ulfat e Dast o Girebaañ Ka Tamaasha Karta

Dil e Hayraañ Ko Kabhi Zauq e Tapish Par Laata
Tapish e Dil Ko Kabhi Hausla-Farsa Karta

Kabhi Khud Apne Tahay’yur Pe Hayraañ Rehta
Kabhi Khud Apne Samajhne Ko Na Samjha Karta

Kabhi Kehta Ke Ye Kya Bazm Hai Kaisi Hai Bahaar
Kabhi Andaaz e Tajaahul Se Maiñ Tauba Karta

Kabhi Kehta Ke Ye Kya Josh e Junooñ Hai Zaalim
Kabhi Phir Gir Ke Tar’apne Ki Taman’na Karta

Suthri, Suthri, Wo Faza Dekh Ke Maiñ Gharq e Gunaah
Apni Aankhoñ Meiñ Khud Us Bazm Meiñ Khat’ka Karta

Kabhi Rahmat Ke Tasaw’wur Meiñ Hansi Aati Hai
Paas e Aadaab Kabhi Hontoñ Ko Bakhya Karta

Dil Agar Ranj e Ma’aasi Se Bigar’ne Lagta
Afw Ka Zikr Suna Kar Meiñ Sambhala Karta

Ye Mazay Khoobi e Qismat Se To Paaye Hote
Sakht Diwaana Tha, Gar Khuld Ki Parwa Karta

Maut Us Din Ko, Jo Phir Naam o Watan Ka Leta
Khaak Us Sar Pe Jo Us Dar Se Kinaara Karta

Ay Hasan! Qasd e Madina Nahiñ, Rona Hai Yahi
Awr Maiñ Aap Se Kis Baat Ka Shikwaa Karta

Share Now